Saturday, 4 March 2017
02:37:00
Weight Loss Tips In Hindi – Motapa Kaise Ghataye – Motapa aur Bodybuilding – Wajan Kaise Ghataye
02:20:00
Mobile Se Application Kaise Banaye – Android App Kaise Banaye – Mobile Se Application Kaise Banaye
Mobile App Kaise Banaye – Android App Kaise Banaye
Mobile Application Kaise Banaye – Android Application Kaise Banaye. Aaj hum janenge ki mobile ke liye application kaise banate hai, Hum jadatar Android smart phones hi use krte he , to is article me hum janenge ki Android Application kaise banate hai. Hum us application ka use hamare own prpose ke liey kar sakate he. Mobile application banana bohot asaan he, me aapko aisa tarika batunga ki aap bina kisi technical knowledge ke phone application bana sakte he. Aapko koi android programming sikhne ki jaroorat nahi he. Bina kisi programming ke aap android application bana sakenge. To chalo, dekhte he, Mobile Android Application Kaise Banaye.
Step 1 : AppsGeyser par account banaye
Apna browser khole, usme www.appsgeyser.com ye address dale.
Ye site hume free application banana me madat karti hai. Hume is site par apna account banana hoga.
Create Now button par click kare. Agle screen me hume app ki style chunani hai.
Step 2: Manpasand Option Chuniye
Diye gaye styles me se hum koi ek style chun sakte he. Agar aapki website hai to aap pehla icon chun sakte he.
Agar aapko aapke FaceBook page ke liye app banana he to aakhri icon choose kare.
Hum aaj pehla option dekhege. Website select karenge.
Step 3: Website URL daliye
Website par click karne ke bad aapko agli screen par aisa kuchh dikhega.
Website URL me aapki website address daliye.
Ex : HindinHelp.Blogspot.In
Side me aapko ek mobile dikhega usme aap apni site ka preview dekh sakte ho.
Step 4: Application ka naam daliye
Uske bas Next button par click kare.
Aapko agli screen par ye dikhega.
Us box me aapka app ka nam dale. Yeh nam aapka app install hone ke bad mobile ke home screen par dikhega. Next button par click kare.
Agle screen par aapko app ka description dalna padega.
Description wale box me aap ke application ka description write kare. Wo description bohot important he, agar aap ye app Android Market Place par share kar rahe he to yeh description aapko waha dikhayi dega. Description fill karne ke bad aapko app ke liye ek icon choose karna he. Next button par click kare. Agle screen par icon ke liye pucha jayega.
Step 5: App ke liye Icon Select Kijiye
Aap yaha default icon bhi rakh sakte hai, ya fir aap aapka man pasnad icon bhi dal sakte he. Manpasand icon lagane ke liye Custom Icon par click kre, aur wo icon wali picture file upload kr de. Aur bad me Next button par click kare.
Abhi hamari lagbhag sari process complete ho chuki he. Abhi aap Create App par click kare.
Is screen par hume apni puri jankari bharni hai., Jaha hame Nam, Email Address aur Password bharna hai. Agar aapke pass Email Id na ho to – Yaha Padhiye Ki Email Address Kaise Banate Hai.
Aur bas, Sign up karne ke bad aapka application ready ho jayega, aur aap use Download bhi kar sakte ho.
Friends Agar Aapko Ye Post Acchi Lagi Ho Aur Aapko Lagta Hain Ki Ye Post Helpful To Please Apna Comment Comment Box Main Likhkar Jaroor Bataye. Aur Like And Share Karna Na Bhule , Thanks...
Your,s Best Friends Ashu DiwaL
Monday, 19 December 2016
21:46:00
Chess – Shataranj Kaise Khele | शतरंज कैसे खेले | Shataranj Ki Chaal Kaise Chale
Hello Friends , Main Ashutosh Kumar Aaj Aapko Chess Ke Bare Main Bataunga....
Chess – Shataranj Kaise Khele | शतरंज कैसे खेले | Shataranj Ki Chaal Kaise Chale
Aaj shataranj aantarrashtriya khel ban gaya he. Shataranj ka khel sikhne ke liye prashikshak (coach) ke rup me koi vyakti milna asambhav he. Yah khel parivar, mitra aur sambadhiyon ke madhyam se hi sikha ja sakta he. Yaha pathakonko Chess Kaise Khele / Shataranj Kaise Khele iski jankari milegi. Shataranj 2 khiladiyon ke bich khela jane vala ek baudhdhik aur manoranjak khel he. Chaupat kul 64 khane hote he jo ki 32-32 karke 2 rangon me hote he. Shataranj ke mohre kaise rakhne chahiye ye aap niche dekh sakte he.
Chess Kaise Khele / Shataranj Kaise Khele
Chess khelne ka bhi apna ek alag hi maza hain. Agar kisiko ek baar chess khelne ki lat lag jaye toh fir woh adat chhudaye nahi chhutti. Chess khelna ek bahut accha hobby hain. Lekin kuchh logo ko yeh acchi tarah se pata nahi hota ki chess actually main khela kaise jata hain. Aaj hum apne iss lekh ke jadiye hum aap logo ko yeh batayenge ki chess khela kaise jata hain. Ummid karte hain ki iss lekh ko padhne ke baad aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa jayega ki chess khela kaise jata hain. Ek baar aap logo ko yeh samajh main aa gaya ki chess actually main khela kaise jata hain fir aap log chess khelkar apna manoranjan bhi kar payenge aur sath sath apne hobby ko bhi aur jada improve kar payenge.
Chess ka khel ek bahut hi alag aur anokha khel hain jisko agar sahi dhang se khela jaye toh yeh manoranjan ka ek bahut accha jadiya hain. Isiliye humari aap logo se yeh request hain ki aap log humare iss lekh ko zara dhyan se padhiye aur iss lekh main jo asan aur saral tarike diye gaye hain unn tricks ko acchi tarah se follow kariye taki aap logo ko chess khelna acchi tarah se aa jaye aur aap log apne boring time main chess khelkar apni life ko puri tarah se khushi khushi enjoy kar sake.
Chess khelne ke sabse asan aur saral tarike
Chess ka khel ek bahut hi mazedar aur interesting khel hain. Iss khel ko khelne ke liye 32 mohro ki zarurat parti. Iss khel main 2 khiladi hote hain aur dono ke paas 16 – 16 mohre hote hain. 32 mohro main se 16 mohre white hote hain aur 16 mohre black hote hain. Dono logo ke paas ek ek raja aur ek ek rani hoti hain. Iske alawa bhi dono ke paas kuchh senaye hote hain. Khel ko khelne ke dauran dono pakshya ke khiladio ke bich ghamasan ladayi hoti hain. Iss khel ka lakshya mainly sah aur maat ke upar depand karta hain. Actually main yeh ek dimag se khele jane wala khel hain.
Iss khel main virodhi pakshya ke khiladi samne wale khiladi ke raja ko puri tarah se jakar lene pura prayas karta hain. Jo bhi pakshya iss kaam ko pahle kar leta hain woh pakshya hi vijeta hota hain. Aur iske sath hi ek baat iss khel ke bare main bahut zaruri hain ki iss khel ka end sirf sah aur maat par hi nahi hota balki kai baar kisi ek pakshya ke khiladi ko agar apni haar ka pahle hi ehsaas ho jaye aur uski himmat tut jaye toh woh khiladi pahle hi haar man sakta hain aur khel se pichhe hat sakta hain. Iss khel ko khelne main bahut zada maza aata hain khaskar jab humare paas koi kaam na ho tab iss khel ko khelne main bahut zada maza aata hain. Iss khel ko dekhne main bhi bahut zada maza aata hain.
Khel Ki Shuruwat
Jiske paas safed rang ke mohre hote he wo pahli chal chalta he. Iske baad vipakshi ke pramukh mohre, Raja ko shah-maat (check and mate) dene ka prayaas karte he. Koi bhi khiladi aisi chal nahi chal sakta jisse aapka Raja hamle me aaye.
Iss khel main virodhi pakshya ke khiladi samne wale khiladi ke raja ko puri tarah se jakar lene pura prayas karta hain. Jo bhi pakshya iss kaam ko pahle kar leta hain woh pakshya hi vijeta hota hain. Aur iske sath hi ek baat iss khel ke bare main bahut zaruri hain ki iss khel ka end sirf sah aur maat par hi nahi hota balki kai baar kisi ek pakshya ke khiladi ko agar apni haar ka pahle hi ehsaas ho jaye aur uski himmat tut jaye toh woh khiladi pahle hi haar man sakta hain aur khel se pichhe hat sakta hain. Iss khel ko khelne main bahut zada maza aata hain khaskar jab humare paas koi kaam na ho tab iss khel ko khelne main bahut zada maza aata hain. Iss khel ko dekhne main bhi bahut zada maza aata hain.
Khel Ki Shuruwat
Jiske paas safed rang ke mohre hote he wo pahli chal chalta he. Iske baad vipakshi ke pramukh mohre, Raja ko shah-maat (check and mate) dene ka prayaas karte he. Koi bhi khiladi aisi chal nahi chal sakta jisse aapka Raja hamle me aaye.
Chess Me Pyada Ki Chaal
Jaise chitra me dikhaya he, hare rang nishan matlab pyada aage chal sakta he aur agar use pratidvandi ke khiladi ka koi mohra marna he to wo tircha marta he(jaha par lal(red) rang ke nishan he). Agar wo pratidvandi ke khiladi ka mohra marta he to pyada vahi se siddha chalne lagta he jab tak uske tirche me koi pratidvandi ke khiladi ka mohra nahi ata.
Unth (Bishop)
Keval apne rang vale chauras me chal sakta he. Yaane kaala unth kale chauras me aur safed unth safed chauras me. Sainik ke hisaab se iska 3 ank he. Unth kisi bhi disha me tedha chal sakta he, lekin anya tukde par chalang nahi mar sakta.
Chess Me Unth Ki Chaal
Ghoda (Knight)
Ghoda “L” prakar ki ya dedh ghar chal chalta he, Jiska aakar 2 varg lamba aur 1 varg chouda hota he. Ghoda hi ek aisa mohra he jo dusre mohre par se chalang mar sakta he. Sainik ke hisaab se iska 3 ank he.
Chess Me Ghode Ki Chaal
Hathi (Rook)
Hathi kisi bhi pankti me daaye, baaye, upar aur niche kitne bhi varg chal sakta he, lekin anya tukde par chalang nahi laga sakta. Raja ke saath haathi bhi raja ke “Castling” chaal ke dauraan shaamil hota he. Iska sainik ke hisaab se 5 ank he.
Chess Me Hathi Ki Chaal
Vajir / Rani (Queen)
Vajir (Rani) haathi aur unth ki Shakti ko jodta he. Vajir upar-niche, daaye-baaye tatha tedhaa kitne bhi varg chal sakta he, lekin anya mohre se chalang nahi maar saktaa. Maan lijiye ki paidal sainik ka 1 ank he to vajir ka 9 ank he.
Chess Me Vajir Ki Chaaal
Raja (King)
Raja kisi bhi dishaa me ek khane jaa sakta he. Raja ek vishesh chaal bhi chal sakta he jo “Castling” kahi jati he aur isme haathi bhi shamil he. Agar Raja ko chalne baadhya kiya aur kisi bhi taraf chal nahi sakta to maan lijiye ki khel samapt ho gaya. Nahi chalne vale raja ko khiladi haath me lekar bolta he – “Maat” ya “Me haar swikaar karta hu”.
Shataranj Me Raja Ki Chaal
Castling
Castling ke antargat Raja ko kishti ki aur 2 varg badhakar aur kishti ko Raja ke dusri aur uske thik bagal me rakhakar kiya jata he. Castling tabhi hongi jab nimmalikhit sharte puri ho –
Chess Me Castling Chaal Kaise Chale
Raja aur Castling me shamil kishti ki yah pahli chal honi chahiye.
Raja tatha kishti ke bich koi mohra nahi hona chahiye.
Raja ko is dauran koi shah (check) nahi pada hona chahiye aur na hi ve dushman mohre ke hamle ki jad me hone chahiye,jinse hokar Castling ke dauran raja ko guharna he athava jis varg me antatah use pahunchana he. (Sirf raja ke liye ya ye badhyata he anya mohron ke liye nahi kyon ki raja ko shah-maat karte hi khel samapt ho jaata he).
Raja aur vajir ko ek hi kshitij pankti me hone chahiye.
Upar diye gaye lekh ko dhyan se padhne ke baad aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa gaya hoga ki chess actually main khela kaise jata hain aur acchi chess khelne ke liye hum kin kin tariko ko apna sakte hain. Toh bas aap log humare iss lekh main diye gaye kuchh tricks ko follow kariye chess ke khel (shatranj) main apne aapko nipun aur mahir kar lijiye.
Thanaks...
21:27:00
Baseball Kaise Khele | बेसबॉल कैसे खेले – Rules and Jankari In Hindi
Hi Friends , Main ashutosh Kumar Aaj Aapko Baseball Game Ke Bare Main Bataunga...
Kisi bhi khel ko jeetne ke liye uske niyam aur kayde pata hona chahiye. Aaj hum baat kar rahe hai baseball ki. Kin baton ka dhyan rakha jaaye baseball khel ko khelte huye. Kyunki kisi bhi khel ko khelne ke liye dimag se aur sharir se tandurust rehna bahut jaruri hai. Aur uske saath hi sakaratamak soch lana bhi bahoot jaruri hai. To chaliye jaane Baseball Kaise Khele – rules and tips in hindi.
Baseball Kaise Khele – बेसबॉल कैसे खेले
Baseball darasal 1846 me England me khela jaata tha. Lekin baad me kuch changes karke Uttar America me ye khela jaane laga. Aur sanyukta rajya America ka national game ban gaya. Us waqt baseball uttar America, central aur dakshin America, Caribbean, east asia me bahut khelte the. Ise garmi me khela jaata he. Badme baseball ko Olympic me bhi shamil kiya gaya. Baseball ki pitch diamond shape me hoti he aur uske 4 base hote he. Baseball me bhi ek special tarah ki bat aur ball hota hai, lekin wo cricket se alag hote he. Bat rod ki tarah hota he aur use ball ko hit karte he.
Baseball ki basic jankari
Bahut log ayese hote hain jinhe baseball khelna bahut pasand hota hain ayese log chahe kisi bhi halat main rahe magar baseball khelna kabhi nahi bhulte hain. Bahut logo ko khel kud me jada interest rahta hain, khelne kudne bale sharirik problem se bhi dur rahte hain khel kud sehat ke liye labhkari hota hain. Jadatar log manoranjan ke liye khelte hain jo ek nasha jaisa ho jata hain aur hamara yeh farz banta hain ki hum unn logo ko badhawa de jo khel kud se jure rahna chahte hain. Khel bahut tarah ke hote hain jin main se ek khel hain baseball ka khel. Baseball ka khel ek bahut hi accha aur interesting khel hain jis khel ko khelne main bahut maza aata hain. Jin logo ko baseball khelna accha lagta hain ya jin logo ko baseball khelne ka bahut saukh hota hain unn logo ke liye yeh jan lena bahut zada zaruri hain ki basketball actually main khela kaise jata hain aur baseball khelne ke kaun kaun se rule hain.
Aaj hum apne iss lekh ke jadiye aap logo ko yeh batayenge ki baseball khelne ke rules kya kya aur baseball kaise khela jata hain. Ummid karte hain iss lekh ko aap log kam se kam ek baar read zarur karenge aur hume iss baat ki bhi puri ummid hain ki iss lekh ko padhne ke baad aur iss lekh main diye gaye kuchh tricks ko follow karne ke baad aap logo ko baseball khelna bahut acchi tarah se aa jayega aur aap logo ka baseball khelne ka sapna zarur pura hi jayega.
Baseball khelne ke rules
Baseball do teamo ke bich khelne wala ek bahut hi mazedar khel hain. Iss khel ko khelne ke liye base ball, base bet, helmet aur jute etc. Ki zarurat padti hain. Baseball khelne wala ball rod ki tarah hota hain. Bet rod ki tarah hone ke karan ball ko hit karna mushkil hota hain. Iss khel main 2 team hote hain aur pratyak team main 9 khiladi hote hain. Baller jab ball ko mitti main touch kiye bina hi bet man ki taraph uchhalta hain tab bat man uss ball ko hit karke apne balle ko wahi chhor kar dusre chhor ki taraph bhagta hain. Baseball khelne wala pich diamond akar ka hota hain aur iss main 4 base hote hain. Bet man jitna jada base cover karta hain usse utne hi run milte hain.
Baseball ek bahut hi anokha khel hain. Iss khel ko khelne main jitna maza aata hain utna hi maza iss khel ko dekhne main bhi aata hain.
Baseball 2 teams me khela jaata he, isliye baseball ke 2 team honi chahiye.
Har team me 9 khiladi hote he.
Ek team batting karti he aur dusri fielding.
Bat rod ki tarah hone ke karan ball ko marna (hit karna) bahut mushkil hota he.
Bowler ko ball bina zamin par giraye sidha batsman ki taraf fenkta he.
Agar batsman se wo ball miss ho gaya to piche khade keeper ko use pakdana hota he.
Batsman ko ball hit karke apni bat vahi chodkar dusre chour par bhagna hota he.
Pitch diamond shape me hone ke karan jo 4 base hote he. Isliye ballebaaj ko ball hit karne ke baad 2 number ke chour par jaana hota he.
Yani ek baar me vah jitne base tak punchenga use utne hi run milenge.
Sabhi daav aadhikarik match ke parinaam par aadharit hai. Jisme overtime shamil hai. Yadi match barabar rehta hai to match ke baajar parinaam par lagaaye gaye sabhi daav rikt hojayenge.
Sabhi daav bane rahenge basharte :-
Ek badhit game 30 ghanton ke andar punah shuru nahi hota aur kam se kam 5 purn paariyan kheli gayi ho, athva 4 ½ paariyan yadi ghru team us samay aage ho.
Pratiyogita niyam ke anusaar, paariyon ki yojit sankhya kam ki gayi hai. Athva match pehle hi purn kiya gaya hai. Yadi kisi ek team ke pass ek mahatvapurn laabh rakha hai.
Sthan ki parvaah kiye bina home team dusri ballebaji karne vaali team hogi.
Sabhi baseball daav lagane is aadhar par vistrit kiya jaata hai ki dono listed pitchers game ko us samay shuru kare jab ek daav lagaya gaya hai.
Daav barkarar rehne ke liye avashyak hai ki dono naamit pitchers aarambh kare aur kam se kam ek pitcher fenke.
Yadi kisi bhi karan se koi ek suchi budhi picher, khel ke aarambh karne se vifal rehta hai to us khel par sabhi daav rikta honge.
Yadi aarambh karne vaale pitcher ke koi naam suchivridh nahi hai to sabhi daav svikar kiye jaate hai. Isse koi fark nahi padta pitcher kisne aarambh kiya tha. Yah khel khelne and dekhne me bhi bada hi romanchak lagta he.
Upar diye gaye lekh ko padhkar aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa gaya hoga ki baseball khelne ke kaun kaun se rule hain. Toh aap logo se humari bas itni si request hain ki aap log humare iss lekh ko dhyan se padhiye aur sath sath iss lekh main diye gaye kuchh tricks ko follow kariye. Hume pura bharosa hain ki inn tricks ko dhyan se padhne ke baad aur iss lekh main diye gaye kuchh asan aur saral tariko ko follow karne ke baad aap logo ko baseball khelna bahut acchi tarah se aa jayega aur aap log apni har ek iccha ko pura karke aap log apni life ko khushi khushi aur puri tarah se enjoy kar payenge.
Thanks...
21:16:00