Hello Friends , Main Ashutosh Kumar Aaj Aapko Chess Ke Bare Main Bataunga....
Chess – Shataranj Kaise Khele | शतरंज कैसे खेले | Shataranj Ki Chaal Kaise Chale
Aaj shataranj aantarrashtriya khel ban gaya he. Shataranj ka khel sikhne
ke liye prashikshak (coach) ke rup me koi vyakti milna asambhav he. Yah
khel parivar, mitra aur sambadhiyon ke madhyam se hi sikha ja sakta he.
Yaha pathakonko Chess Kaise Khele / Shataranj Kaise Khele iski jankari
milegi. Shataranj 2 khiladiyon ke bich khela jane vala ek baudhdhik aur
manoranjak khel he. Chaupat kul 64 khane hote he jo ki 32-32 karke 2
rangon me hote he. Shataranj ke mohre kaise rakhne chahiye ye aap niche
dekh sakte he.
Chess Kaise Khele / Shataranj Kaise Khele
Chess khelne ka bhi apna ek alag hi maza
hain. Agar kisiko ek baar chess khelne ki lat lag jaye toh fir woh adat
chhudaye nahi chhutti. Chess khelna ek bahut accha hobby hain. Lekin
kuchh logo ko yeh acchi tarah se pata nahi hota ki chess actually main
khela kaise jata hain. Aaj hum apne iss lekh ke jadiye hum aap logo ko
yeh batayenge ki chess khela kaise jata hain. Ummid karte hain ki iss
lekh ko padhne ke baad aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa
jayega ki chess khela kaise jata hain. Ek baar aap logo ko yeh samajh
main aa gaya ki chess actually main khela kaise jata hain fir aap log
chess khelkar apna manoranjan bhi kar payenge aur sath sath apne hobby
ko bhi aur jada improve kar payenge.
Chess ka khel ek bahut hi alag aur
anokha khel hain jisko agar sahi dhang se khela jaye toh yeh manoranjan
ka ek bahut accha jadiya hain. Isiliye humari aap logo se yeh request
hain ki aap log humare iss lekh ko zara dhyan se padhiye aur iss lekh
main jo asan aur saral tarike diye gaye hain unn tricks ko acchi tarah
se follow kariye taki aap logo ko chess khelna acchi tarah se aa jaye
aur aap log apne boring time main chess khelkar apni life ko puri tarah
se khushi khushi enjoy kar sake.
Chess khelne ke sabse asan aur saral tarike
Chess ka khel ek bahut hi mazedar aur
interesting khel hain. Iss khel ko khelne ke liye 32 mohro ki zarurat
parti. Iss khel main 2 khiladi hote hain aur dono ke paas 16 – 16 mohre
hote hain. 32 mohro main se 16 mohre white hote hain aur 16 mohre black
hote hain. Dono logo ke paas ek ek raja aur ek ek rani hoti hain. Iske
alawa bhi dono ke paas kuchh senaye hote hain. Khel ko khelne ke dauran
dono pakshya ke khiladio ke bich ghamasan ladayi hoti hain. Iss khel ka
lakshya mainly sah aur maat ke upar depand karta hain. Actually main yeh
ek dimag se khele jane wala khel hain.
Iss khel main virodhi pakshya ke khiladi
samne wale khiladi ke raja ko puri tarah se jakar lene pura prayas
karta hain. Jo bhi pakshya iss kaam ko pahle kar leta hain woh pakshya
hi vijeta hota hain. Aur iske sath hi ek baat iss khel ke bare main
bahut zaruri hain ki iss khel ka end sirf sah aur maat par hi nahi hota
balki kai baar kisi ek pakshya ke khiladi ko agar apni haar ka pahle hi
ehsaas ho jaye aur uski himmat tut jaye toh woh khiladi pahle hi haar
man sakta hain aur khel se pichhe hat sakta hain. Iss khel ko khelne
main bahut zada maza aata hain khaskar jab humare paas koi kaam na ho
tab iss khel ko khelne main bahut zada maza aata hain. Iss khel ko
dekhne main bhi bahut zada maza aata hain.
Khel Ki Shuruwat
Jiske paas safed rang ke mohre hote he
wo pahli chal chalta he. Iske baad vipakshi ke pramukh mohre, Raja ko
shah-maat (check and mate) dene ka prayaas karte he. Koi bhi khiladi
aisi chal nahi chal sakta jisse aapka Raja hamle me aaye.
Iss khel main virodhi pakshya ke khiladi
samne wale khiladi ke raja ko puri tarah se jakar lene pura prayas
karta hain. Jo bhi pakshya iss kaam ko pahle kar leta hain woh pakshya
hi vijeta hota hain. Aur iske sath hi ek baat iss khel ke bare main
bahut zaruri hain ki iss khel ka end sirf sah aur maat par hi nahi hota
balki kai baar kisi ek pakshya ke khiladi ko agar apni haar ka pahle hi
ehsaas ho jaye aur uski himmat tut jaye toh woh khiladi pahle hi haar
man sakta hain aur khel se pichhe hat sakta hain. Iss khel ko khelne
main bahut zada maza aata hain khaskar jab humare paas koi kaam na ho
tab iss khel ko khelne main bahut zada maza aata hain. Iss khel ko
dekhne main bhi bahut zada maza aata hain.
Khel Ki Shuruwat
Jiske paas safed rang ke mohre hote he
wo pahli chal chalta he. Iske baad vipakshi ke pramukh mohre, Raja ko
shah-maat (check and mate) dene ka prayaas karte he. Koi bhi khiladi
aisi chal nahi chal sakta jisse aapka Raja hamle me aaye.
Chess Me Pyada Ki Chaal
Jaise chitra me dikhaya he, hare rang
nishan matlab pyada aage chal sakta he aur agar use pratidvandi ke
khiladi ka koi mohra marna he to wo tircha marta he(jaha par lal(red)
rang ke nishan he). Agar wo pratidvandi ke khiladi ka mohra marta he to
pyada vahi se siddha chalne lagta he jab tak uske tirche me koi
pratidvandi ke khiladi ka mohra nahi ata.
Unth (Bishop)
Keval apne rang vale chauras me chal
sakta he. Yaane kaala unth kale chauras me aur safed unth safed chauras
me. Sainik ke hisaab se iska 3 ank he. Unth kisi bhi disha me tedha
chal sakta he, lekin anya tukde par chalang nahi mar sakta.
Chess Me Unth Ki Chaal
Ghoda (Knight)
Ghoda “L” prakar ki ya dedh ghar chal
chalta he, Jiska aakar 2 varg lamba aur 1 varg chouda hota he. Ghoda hi
ek aisa mohra he jo dusre mohre par se chalang mar sakta he. Sainik ke
hisaab se iska 3 ank he.
Chess Me Ghode Ki Chaal
Hathi (Rook)
Hathi kisi bhi pankti me daaye, baaye,
upar aur niche kitne bhi varg chal sakta he, lekin anya tukde par
chalang nahi laga sakta. Raja ke saath haathi bhi raja ke “Castling”
chaal ke dauraan shaamil hota he. Iska sainik ke hisaab se 5 ank he.
Chess Me Hathi Ki Chaal
Vajir / Rani (Queen)
Vajir (Rani) haathi aur unth ki Shakti
ko jodta he. Vajir upar-niche, daaye-baaye tatha tedhaa kitne bhi varg
chal sakta he, lekin anya mohre se chalang nahi maar saktaa. Maan
lijiye ki paidal sainik ka 1 ank he to vajir ka 9 ank he.
Chess Me Vajir Ki Chaaal
Raja (King)
Raja kisi bhi dishaa me ek khane jaa
sakta he. Raja ek vishesh chaal bhi chal sakta he jo “Castling” kahi
jati he aur isme haathi bhi shamil he. Agar Raja ko chalne baadhya kiya
aur kisi bhi taraf chal nahi sakta to maan lijiye ki khel samapt ho
gaya. Nahi chalne vale raja ko khiladi haath me lekar bolta he – “Maat”
ya “Me haar swikaar karta hu”.
Shataranj Me Raja Ki Chaal
Castling
Castling ke antargat Raja ko kishti ki
aur 2 varg badhakar aur kishti ko Raja ke dusri aur uske thik bagal me
rakhakar kiya jata he. Castling tabhi hongi jab nimmalikhit sharte puri
ho –
Chess Me Castling Chaal Kaise Chale
Raja aur Castling me shamil kishti ki yah pahli chal honi chahiye.
Raja tatha kishti ke bich koi mohra nahi hona chahiye.
Raja ko is dauran koi shah (check) nahi
pada hona chahiye aur na hi ve dushman mohre ke hamle ki jad me hone
chahiye,jinse hokar Castling ke dauran raja ko guharna he athava jis
varg me antatah use pahunchana he. (Sirf raja ke liye ya ye badhyata he
anya mohron ke liye nahi kyon ki raja ko shah-maat karte hi khel samapt
ho jaata he).
Raja aur vajir ko ek hi kshitij pankti me hone chahiye.
Upar diye gaye lekh ko dhyan se padhne ke baad aap logo ko yeh acchi
tarah se samajh main aa gaya hoga ki chess actually main khela kaise
jata hain aur acchi chess khelne ke liye hum kin kin tariko ko apna
sakte hain. Toh bas aap log humare iss lekh main diye gaye kuchh tricks
ko follow kariye chess ke khel (shatranj) main apne aapko nipun aur
mahir kar lijiye.
Thanaks...
0 comments:
Post a Comment