HindinHelp.Blogspot.In Official Blog. Help In Hindi Read Daily New Article and News

Saturday 17 December 2016

Happy New Year Jio Offer 31 March 2017

Reliance Jio 4G SIM Se Related FAQ.

Happy New Year Jio Offer 31 March 2017

 

Hi Friends , Main Ashutosh Kumar Aaj Fir  Jio Ke Bare Main Pooche Jane Wale Parsano Ke Jwab Lekar Fir Harjir Hoon.

Jio infocomm limited 2016 me India ka sabse fastest sell hona wala SIM hain. Iski popularity per day increase ho rahi hain. Lekin Mukesh Ambani ke partnership wale is company me abhi bhi calls, exhausted data, sim activation, bar code generate jaisa problems hain. Main apko in sabhi topics se related questions ke answer bata raha hun. Ye sabhi question Help In Hindi ke readers ne puche hain. reliance Jio 4G sim se related iss question ka answer apke kaam bhi ayega.

Mukesh Ambani Announcement Jio: Happy New Year 1 January to 31st march 2017 Year Offer

Reliance Industries Chairman Mukesh Ambani ne 1 december 2016 ko kuch announcement kiya hai. Jisme unhone reliance jio 4G sim ke advantages aur kuch problems bataye hai. Iss din Mukesh Ambani ne jio se related kuch announcement bhi kiya hai. Jisme happy New Year Jio Offer 2017 sabse adhik important hai. Ab read kare Mukesh Ambani ne jio new year offer aur jio validity ke bare kya announcement kiya hai:
  • 4 December, 2016 se reliance jio offer 31st march 2016 tak ki validity ke sath use hoga. Jisme unlimited internet, voice, video call, sms bhi honge. Jio application bhi 31st march tak free hai. Sabhi customers ke liye jio happy new year offer valid hai.
  • Jio ab full MNP (Mobile number Portability) support karega. Koi bhi other network user ab purane number se jio sim kharid sakte hai.
  • Reliance jio sim ab Home delivery par bhi milega. Jisme e-KYC se 5 minutes me sim activate karke diya jayega.
  • Jio ke 92% toer fast internet de raha hai. Sirf 8% Tower slow internet deta hai.
  • 5 december 2016 ko Jio Money merchant launch hoga. Jisme chote dukandar aur bare services wale shops bhi iss feature ko support karenge.
  • 3 Month me Jio facebook, whatsapp, skype se bhi tezi se popular hua hai. Jio ke 50 million se bhi adhik users ho chuke hai.
  • Ek Jio user normal broadband costumer se 25 times adhik Internet data use karta hai.
  • Last 3 Months me 900 se adhik voice calls huye hai. Jio ne India ke 3 big mobile network company ko acha competition diya hai.

Reliance Jio 4G SIM Se related Top questions

Aapke maan bhi reliance jio ko lekar bahut sawal jawab honge. I hope yearticle padh kar sabhi question ke answers apko mil jaye. Jo sabse adhik puche gaye questions hai, unka answer sabse pahle bata raha hu.

1 . Reliance Jio 4G SIM Card Activate Hone Me Kitna Time Lagta Hain.

 

Agar apne reliance jio sim kharida hain. Toh aap usse sabse pahle activate karna chahenge. Kyunki bina activation ke aap sim use nahi kar sakte hain. SIM kharidne ke 2 hours ke andar activate hota. Digital stores ya local shop ke staff 2 hours me sim activate kar dega.

2 . Reliance JIO 4G SIM Card Online Kaise Kharidte Hai?

Reliance jio sim online bhi purchase kar sakte hain. Ab apko jio sim card kharidne ke liye kahi bahar jane ki jarurat nahi hain. Kyunki online purchase system se aap sim card kharid sakte hain. Jio sim online kharidne ke process ke bare me maine likha hain. Iski full article read kare:
  • Reliance Jio 4G Sim Card को Home Delivery पर कैसे paye
Sim Buy Karne ke liye aapke paas JIO Bar Code hona jaruri hain. Yadi aapne My JIo app install kiya hai aur Get JIO SIM ka option nahi show ho raha hain toh bhi niche diya gaya trick follow kar sakte hain. Is trick se kisi bhi android phone me bar code generate kiya ja sakta hain. Jio Bar Code kaise generate hain iski jankari dekhe:

Reliance JIO 4G Bar CODE Kaise Generate Karte Hain

1 . Sabse pahle apne android phone me 3.2.05 version ka My JIO app download kare. Download here.
2 . Phir application ko open kare.
3 . Ab My JIO app me diye gaye sabhi 11 apps ko install kare.
4 . Phir Internet connection data ko off kare.
5 . Ab apne recent apps ko close kare. Aapne jitne bhi application open kiye the sabhi ko remove karde.
6 . Phir JIO app ko open kare.
7 . Application me My JIO app ka option uspar press kare.


8 . Apko Get JIO SIM ka option show ho jayega.
9 . Internet connection On kare. Phir Get JIO SIM par press karke Bar CODE generate kare.
Yadi apko abhi bhi problem hain toh video dekh sakte hain.
Video Tutorial
 

3 . JIO SIM Card Price Kitna Hain

Free Unlimited internet call dene ki wajah se sabhi ko lagta hain jio sim bahut mahga hoga. Lekin aisa kuch nahi hain. Reliance jio ka 4G sim bilkul muft hain. Reliance jio 4G sim ko free of cost digital store ya local shop se kharid sakte hain.

4 . Reliance JIO 4G SIM Ko Kisi Aur Mobile Me Use Kar Sakte Hain
Jab aap sim kharidenge, toh apko ek bar code digital store me dikhana hota hain. Ye bar code apke handset se create hua hona chahye. Agar bar code aapke handset se bana hain toh ye apke IMEI number se connect hota hain. Aur jio sim activation ke time puri tarah handset ke IMEI number se connect ho jata hain. Jis wajah se isse kisi aur IMEI number ke handset me use nahi kar sakte hain.

5 . 3G Mobile Mea Reliance JIO 4G SIM Kaise Use Karte Hain 

Agar aap 1 year back jaye toh India me 4G popular nahi tha. Kyunki iska net pack bahut costly tha. Islye sabhi 3G handset kharid rahe the. Lekin jio infocomm limited ke ane ke baad sabhi 4G handset kharid rahe hain. Kyunki ye sim sirf 4G handset me work karta hain.
Agar aap kisi wajah se new 4G handset mobile nahi kar sakte hain toh pareshan hone ki jarurat nahi hain. Kyunki 3G mobile me bhi reliance jio 4G sim support karta hain. Bas apko iske liye niche diye gaye article ko read karna hoga.

6 . JIO BarCode Khone Ke Baad Kya Kare

Aap jab bhi bar code Generate kare to sabse pahle uska screenshot jarur save karle. Yadi apne Barcode kho diya hai ya delete kar diya hai toh Mobile Settings Application Manager ⇒ Installed Apps⇒ MyJio ⇒ Clear app data kare. Phir My Jio App open kare aur new Barcode generate kare.

7 . Reliance JIO SIM Kaun Se Samsung mobile and Other 4G + VOLTE Handset me officially support karta hai.

Reliance Jio VoLTE devices me support karta hai:

Samsung Supported Handset: 
Grand Prime 4G, Galaxy J1, Galaxy J2, Galaxy J7, Galaxy J5, Galaxy S 5 Plus, Galaxy A5, Galaxy A7, Galaxy Core Prime 4G, Galaxy S6, Galaxy J3 (2016), ON7, Galaxy A8, Galaxy S6 Edge, ON5, Galaxy Note 5, Galaxy Note 4, Galaxy Alpha, Galaxy S6 Edge Plus, Galaxy Note 4 Edge, Galaxy Note 5 Duos, Galaxy S5 Neo, S7, Galaxy A5 (2016), Galaxy A7 (2016), S7 Edge, A8 VE, J5 (2016), J7 (2016), ON5 Pro, ON7 Pro, Galaxy J2 (2016), J Max, Galaxy A9, Galaxy A9 Pro, Galaxy C5, Galaxy C7, Galaxy J2 Pro, Galaxy Note 7.
Friends upar maine samsung handset ka list diya hai jo Reliance Jio SIM ko support karta hai. source:GIZMOTIMES

Asus Devices:– Zenfone Selfie( ZD551KL), Zenfone 2 Laser (ZE601KL), Zenfone Zoom(ZX551ML), Zenfone Go 5.0 LTE (T500), ZenFone 2 Laser (ZE550KL), Zenfone 2 (ZE551ML), Zenfone Max (ZC550KL), Zenfone 2 Laser 5.0  (ZE500KL), Zenfone 2 (ZE550ML),  Zenfone 3 ZE552KL, Zenfone 3 Laser( ZC551KL), Zenfone 3( ZE520KL), Zenfone 3( ZS570KL), Zenfone 3( ZU680KL)
LG Supported JIO:
K332 (K7 LTE), K520DY (Stylus 2), K520DY, H860 (LG G5), K500I (X Screen), K535D (Stylus 2 Plus), LGH630D (G4 Stylus 4G) & LGH 442 (LGC70 Spirit LTE)
Panasonic 4G handset:
ELUGA L, ELUGA Icon 2, ELUGA A2, ELUGA Note, P55 Novo 4G, ELUGA Arc 2, P77, ELUGA Switch, ELUGA Icon, T45, ELUGA I2 ( 1GB ), ELUGA L2, ELUGA Mark, ELUGA Turbo, ELUGA Arc, ELUGA I2 2GB, ELUGA I2 3GB, ELUGA I3 .
Micromax devices:
Bolt Selfie, Canvas 5, Canvas 5 Lite, Canvas 5 Lite Special Edition, Canvas Mega 2, Canvas Mega 4G, Canvas Nitro 4G, Canvas Pace 4G, Canvas Play 4G, Canvas Pulse 4G, Canvas Sliver 5, Canvas Tab, Canvas Unite 4, Canvas Xpress 4G, Unite 4 Plus, Unite 4 Pro, Canvas 6, Canvas 6 Pro, Canvas Amaze 4G, Canvas Blaze 4G, Canvas Blaze 4G Plus, Canvas Evok, Canvas Fire 4G, Canvas Fire 4G plus, Canvas Fire 6, Canvas Juice 4G, Canvas Knight 2 .
Karbonn Supported 4G Handset:
Aura 1, Aura Power, Quattro L45 IPS, Quattro L50 HD, Quattro L51 HD, Quattro L52 VR, Quattro L55 HD
Lava Handset:
A71, A72, A76, A76 Plus, A88, A89, A97, Ivory s 4g, Lava V5 M, Pixel V2, V2s, X10, X11, X12, X17, X28, X38, X41, X41 Plus, X46, X50, X50 Plus, X81
Gionee 4G handset:
E8, F103 Pro, F103(1GB), F103(2GB), F103(3GB), M4, M5, M5 Lite, M5 Lite CDMA, M5 Plus, P5L, S Plus, S6, S6s, S7, V6L
Xolo devices: Black-1X M, era 1X, era 2X, era 4G, era 4K, era X
VideoCon Devices: Graphite1 V45ED, Krypton 3 V50JG, Q1, V50FA3, V50FG6
Sansui Handset : S50 FD45S
Yu Devices : Yu Yuphoria, Yu Yureka, Yu Yutopia, Yunique, Yuphoria, Yureka Plus, YU Note, Yureka S, Yunicorn
Alcatel Devices : POP3, POP Star, POP4, OneTouch X1, Pixi 4 -5
TCL Devices : TCL 560, Pride T500L, FIT 5.5, TCL 562

8 . Kya JIO SIM Sabhi 4G SET ME Support Karta Hai.

Ha ab reliance JIO Phone sabhi 4G and VoLTE phones me support kar raha hai. SIM lene ke liye nazdiki reliance store me contact kare. Yad rakhe Jis handset me 4G and VOLTE dono features hoga usi me JIO SIM support karta hai.

9 . Reliance JIO India Ke Kaun Se State Me Working Hai

Reliance India ke 29 states me working hai. India ke sabhi state me Reliance JIO ki coverage hai.

10 . Windows Mobile Me Reliance JIO Support Karta hai Ya Nahi

JIO sim sirf android phone ke liye launch hua. Abhi windows me JIO sim use nahi kar sakte hai. Lekin jaise-jaise jio SIM ki popularity and demand adhik ho rahi hai. Us tarah se bahut jaldi reliance jio sim Windows me bhi support karega.

11 . Jio SIM Se Call Kyun Nahi Hota Hain

Yadi aapke jio sim se call nahi hota hain toh apne device me jio app download kare. Ya phir VOLTE enabled kare. Full detail ke liye ye article read kare. Solve Reliance JIO Problems And Solution.

12 . Jio Apps Me Login Kaise Karenge

1 . Sabse pahle My JIO app install kare. Phir open kare.
2 . Signup option par jaye.
3 . JIO Number ya Jio customer ID enter kare.
4 . Generate OTP option par jaye.
5 . OTP number, Email enter kare. Phir password set kare.
6 . Ab Activate option use kare.

13 . 2GB Data Ko Unlimited Data Mea Kaise Convert Kare

Abhi bahut se logo ke JIO SIM me 2GB data hi diya ja rahe hain. Lekin isye unlimited data me convert kar sakte hai.
Read here: Reliance JIO 4G : You have exhausted your Account balance / Credit limit Problem kaise Solve Kare

14 . Unlimited BarCodes Kaise Generate Karte hain

Dosto kya apka jio barcode redeemed ho gaya hain. Toh pareshan mat hoye. Kyunki abb android phone me unlimited barcode generate kar sakte hain.

15 . PC Se Unlimited Jio Bar Code Kaise Generate Karte Hain

Dosto isse upar wale paragraph me aapne jana kaise unlimited bar code generate kiya jata hain. Lekin iss paragraph me janenge computer se unlimited bar code kaise generate kiya jata hain.
Jio company, Reliance Jio infocomm limited ki hain. Jio sim se aap unlimited internet, calls, sms kar sakte hain. Lekin sim kharidne ke liye bar code ki jarurat hoti hain.
PC se unlimited jio bar code banane ke liye kuch requirements ki jarurat hain:
  • My JIO App
  • NOX App Player
  • Jio ke sabhi apps
  • Computer
PC se bar code generate karne ke liye steps jane:

  • Upar diye gaye requirements ko complete kare. NOX player and My jio app download kare.
  • NOX player open kare. Yaha top right corner par Settings gear button hain. Settings option me jaye.
  • Root ko turn ON kare.
  • Create option par press kare. Jab bhi aap create button ko tap karenge, apke phone ka IMEI automatic change ho jayega.
  • My JIO App aur iska sabhi apps download kare.
  • Phir internet data off karke My Jio App open kare.
  • Yaha apko Get Jio Sim option dikhaye dega.
  • Internet connection ON kare. Aur Get Jio SIM par tap kare.
  • Apna state, city select kare.
  • Congrats!!! apka jio barcode generate ho chuka hain.
  • Unlimited bar code ke liye issi process ko bar bar repeat kare.

Last Words

Friends aap logo ke Reliance JIO SIM se related se problem ko solve karne ke liye maine ye article post kiya hai. Agar apke paas aur bhi questions hai toh comment karke puch sakte hai. Jo question important honge usye is article mea add kiya jayega.

 






0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Categories

Blog Archive