HindinHelp.Blogspot.In Official Blog. Help In Hindi Read Daily New Article and News

Friday, 16 December 2016

Army Ki Tayari Kaise Kare – आर्मी की तैयारी कैसे करे

Army Ki Tayari Kaise Kare आर्मी की तैयारी

Hello Friends, Main Ashutosh Kumar Aaj Batunga Ki Aap Army Ki Tayari Kaise Kare.

 
Pratyek varsh lakhon ummedwar army ki naukri pane ke liye army ki parikshaon mein bhag lete hain lekin umay se kuch hi safal ho pate hain. Un safal logon mein se bhi Service Selection Board dwara liye gaye interview mein kuch hi  safalta pate hain aur unhay hi army ki naukri mil pati hai. Aaiye jaane woh baaten jinke dwara aap army ki sabhi parikshaon mein safal hokar army ki naukri prapt kar sakte hain. To chaliye jane army ki tayari kaise kare.

Army he jimmedari

Aaj ke aatang se bhare jamane me army jaise kabil aur Bahadur afsaro ka hona bahut zaruri hain desh ke raksha ke liye desh me achhe sur kabil army hona jaruri hain tabhi humare desh ke log chain se ji pate hain. Doctor business man ko koi tension nahi hai easily kyunki hamare desh me aatang se larne ke liye sipahi tainat hain. Desh me aaye din aatang barhte ja raha hain log sochte hain hamare ghar ka tantion kya kam hain wife ka tention bache ka tention upar se kam ka tention aise me agar desh aur duniaa ka tention lene lage to hamara dimag kharab ho jayega jatatar log aisa soch rakhte hain.
Hame unn logo ko salam karna chahiye jo apni zindagi jina chhor ke desh ke liye jite hain aur desh ke raksha main apni zindagi ko haste haste kurbaan kar dete hain. Bahut logo ka sapna hota hain army officer banna kyuki army’s ki jo saan hoti hain woh kuchh logo ko bahut zada parabhavit kar deti hain. Aaj hum apne iss lekh main aap logo ko yeh batayenge ki hum army ki taiyari kaise kar sakte hain aur kaise hum ek kabil army officer ban sakte hain. Toh aap log bas humare lekh ko aur iss lekh main diye gaye kuchh tricks ko dhyan se padhiye aur ho sake toh follow bhi kariye taki aap log ek kabil army officer banne main safal ho sake aur desh ke liye kuchh kar gujarne ke apne sapne ko sakar kar sake.

Army Ki Tayari karne ke liye kuch saral tips

Pahle se hi nirdharit kar le

Agar aap ek army officer banne ke liye interested hain toh aap pahle se hi yeh tay kar le ki aapko ek army officer hi banna hain. Agar aapne yeh decide kar liya hain ki aapko ek ek army officer hi banna hain toh apni lifestyle, dainindin kaam kaj aur apne khan pan ko ussi tarah se gadh de. Agar aapko ek army officer banna hain toh iss ke liye aapka sharir mazbut aur tandarusta hona hoga. Aur agar aapka sharir mazbut aur tandarusta nahi hua toh aapko physical fitness test main reject kar diya jayega aur aapka sapna pura hone se pahle hi tutkar chakna – chur ho jayega. Isiliye aap log pahle se hi apne lakshya ko nirdharit kar le aur ussi hisaab se apne lifestyle aur kaam kaj ko gadh de.

Har exam ke liye puri tarah se ready rahe

Agar aap army officer ke job ko karne ke liye serious hain toh aap pahle toh yeh pata lagaye ki army officer banne ke liye kis kis tarah ke interviews ko clear karna hoga. Aur jab aapko inn baato ka pata chal jaye toh aap apne aapko dheere dheere karke har exam ke ready karte rahe taki jab bhi interview dene ki bari aaye toh aap asani se uss interview ko de sake aur asani se har ek interview ko pass karke apni manpasand job ko hasil kar sake.

Ek din pehle jaayen

Apko SSB dwara aayojit 5 din ke pariksha karyakram mein shamil hona hai. Iskay liye aapko bulaye gaye din se ek din pehle wahan pahunch jaana chaihye jisse apko us din stahal par pahunchne mein der bhi nahin hogi aur aap bharti ki prakriya bhi samajh lenge.

Pehla din  Screening Test

Yeh pariksha do bhagon mein hoti hai.  Pehla bhag hai likhit pariksha. Ismay kuch prashna diye jaate hain jinse aapki budhimaani ko pata kiya jaa sake. Yeh prashna tarkik aur gair tarkik dono tarah ke hote hain.

Ismay puchay gay prashan bahut aasan hote hain aur aap in prashno ko army ki tyyari karane wali kisi bhi kitab se padh sakte hain. Koi acchi kitab khareedkar aap in prashon ki tyyari kar sakte hain.

Is Pariksha ke Doosre bhag mein apko koi picture dikhai jayegi. Is pictur ke bare mein apko koi kahani ya apne vichar likhne hain. Apko ek kagaz diya jayega jisme apko picture mein dikhne wali sabhi cheezon ke bare mein likhna hoga. Iskay baad apko lagbhag 1 minute uskay baare mein bolana hoga.

Ismay bas itna dhyan rakhiye ki aap jo bhi bolen who spasht ho. Aap sahi awaz mein bolen, aankhen nichi jhuka kar nahin bolen. Aisa pratit hona chahiye ki aap mein aatmvishwas hai. Yadi aapne aatmvishwas ke sath bol diya to aapka pehle test mein chayan pakka hai.

Doosra din Physical aur Medical test

Iskay baad aapka physical fitness test hoga. Yeh har rajya ke liye alag hota hai. Purush Umeedwaron  ki lambai kam se kam 157.5 aur mahilaon ke liye 152 centimeter honi chahiye. Vajan 50 kilogram kam se kam hona chahiye. Purushaon ka seena puran viksit hona chahiye aur iski fulane par chaudai 81 centimeter jabki bina fulay 77 centimeter honi chahiye. Aankhon ki nazar 6/6 honi chahiye.  Daud 15 minute mein 2.5 kilometer honi  chahiye.

Isay paas karne ke liye zaroori hai ki aap paushtik khana khayen, niyamit vyayaam karen aur anushasit jiwan vyatit karen. Medical parikshan mein dekha jaata hai ki aap kisi beemari se to grasit nahin hain.

Teesra aur chautha din Likhit Pariksha

Army mein agla padav likhit pariksha ka hota hai jisme samanya gyan, samanya vigyan, aur ganit ke prashna puche jaate hain. In prashno ka pratishat is prakar hota hai ki samanya gyan ke 30% samanya vigyan ke 40 pratishat aur ganit ke 30 pratishat prashna aate hain.

Inki tyyari karne ke liye bazar se kitab khareed kar layen. Samanya gyan mein short form, khel kood ke, rashtriya aur antarrashtriya star ke prashna, puraskaron ke prashan aadi hote hain. Iske atirikt kitabon aur lekhakon ke naam, paudhon aur jaanwaron, bhashaon, tatha rashtriya aur antarrashtriya diwas se sambandhit prashna bhi aate hain. Samanya vigyan mein manav sharir, chikitsiya, vaigyanik anusandhaan se sambandhit prashna aate hain.Ganit mein apko beej ganit, ank ganit, jyamiti aadi se sambandhit prashno ko tyyar kijiye.

Panachva din Sakshatkar

Jab aap army pariksha ke pehle sabhi padav paar kar jaayenge to apka sakshatkaar ya interview liya jaayega. Sakshatkar army pariksha ka antim padav hai aur ismay safal ho jaane ke baad apka army mein chayan tay ho jaata hai. Army mein sakshatkar ke dauran aapse wahi prashna puche jaate hain jo aapki roz ki zindagi se jude hote hain. Jaise apne shahar ke bare mein bataiye. Apne baare mein bataiye, aap army mein kyo aana chahte hain. Aap desh ki seva kis tarah karenge. Apne jiwan ki koi aisi baat batayen jinse pata chalta ho ki aap samay ke paband hain. Sakshatkar ka uddesh apke aatmvishvaas aur imaandari  ko pata karna hai. Isliye bina dare imandari se apne prashno ka uttar dijiye. Apka chayan sunishcyit hoga.

Upar diye gaye lekh ko padhkar aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa gaya hoga ki ek kabil army officer banne ke liye hume kya kya taiyaria karne ki zarurat paregi. Hum toh yahi kahenge ki agar sapna dekh liya hain toh uss sapne ko pura karne ki himmat aur hausla bhi rakhiye kyuki agar jivan main kuchh pana hain ya kuchh hasil karna hain toh hume khud hi kadam badhani hogi kyuki baithe baithe toh koi hume humara sapna pura karke toh nahi dega na. Isiliye humari aap logo se bas yahi request hain ki aap log humare lekh main diye gaye kuchh saral tricks ko follow kariye aur apne army officer banne ke sapne ko pura kar lijiye.

 

 

 

 



 

 

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Categories

Blog Archive