HindinHelp.Blogspot.In Official Blog. Help In Hindi Read Daily New Article and News

Thursday, 15 December 2016

Share Bajaar Sikhe | पैसे इन्वेस्ट कैसे करे

Paise Invest Kaise Kare – शेयर बाजार सीखे

Hi dosto! Main Ashutosh Kumar. Aajke iss lekh main Main aap logo ko yeh bataunga ki paise invast karte samay hume kin kin baato ka khas taur par dhyan rakhna chahiye. Janenge paise invest kaise kare and share bajaar sikhe. Hum aap logo se bas yahi kahenge ki aap log kam se kam ek baar inn tricks ko zarur read kariye aur apne business main inn tips ko zarur follow kariye. Bharosha rakhiye inn tricks se aapka kafi help milega apni paiso ko sahi jagah par invast karne main.

Paise Invest Kaise Kare – शेयर बाजार सीखे

Aaj kal har koi apne paise invest karne ke liye aisi jagah chahta hai jahan use uske fayde najar aaye. Share bajar main nivesh investment in shares yadi apko share baajar ke bare main kam jankari hai ya aap is bajar ke new khiladi hain ya aap chahte toh hain ki bajar main nivesh kare magar jante nahi ki kya kare kaise kare toh aaj hum apko kuch tips dete hain. Toh chaliye jaane share market se Paise Kaise Kamaye
Kuch aur share bajar main nivesh- investment in shares ke tips yaha hain. Share bajar main har koi paisa kamana chahta hai magar kai baar dosto, rishtedaro aur sath kaam karne walo ki dekha dekhi nivesh karke log fas jate hain. Jab bhi share bajar main nivesh kare toh apni samajh ke sath kare aur janle ki usmai kitna jokhim ho sakta hai. Toh aaiye jane ki Paise Invest Kaise Kare – Share Bajaar Sikhe, share bajar tips.

Paise invast karte samay follow karne layak kuchh tips

Kam paiso se hi apne business ko suru kare

Aap agar apne paiso ko invast karna chahte hain aur iss business se pura pura munafa kamana chahte hain aur sath sath kisi loss ka samna nahi karna chahte toh aap pahle pahle kam paiso se hi apne business ko suru kare kyuki agar aap log kam paiso se apne business ko suru karenge toh agar aapka anuman fail bhi ho gaya toh aapko thoda hi loss hoga aur uss loss ke baad aap puri tarah se alert ho jayenge. Lekin agar aap log ek hi baar main bhari loss se gujarenge toh sayad firse aap kabhi bhi khare nahi ho payenge aur sayad firse kabhi bhi aap apne aapko sambhal nahi payenge. Isiliye aap logo se humari yeh salah hain ki aap log suru suru main kam paiso se hi apna business start kare.

Kisi experienced insan ke sath rahe

Agar aap apne paiso ko invast karke paisa kamana chahte hain toh aapko sabse pahle iss field main apne experience ko badhana hoga aur apne experience ko badhane ke liye aapko kisi ayese insan ke sath rahna hoga jiske paas iss kaam ka accha khasa  experience ho. Agar aap bas kuchh hi din ayese insan ke sath rahenge jiske paas experience hain toh aapko bhi uss insan ke tarah hi experience ho jayega aur jab aapko puri tarah se experience ho jayega tab aap apne paiso ko invast karke accha khasa paisa kama sakte hain.

Tips se door rahe

Kisi bhi insan ke kisi tips ya salah ko sunkar bina sonche samjhe hi apne paiso ko invast na kar de : Aap agar yeh nahi chahte ki aapko kisi bhi tarah ki nuksan ka samna karna pare ya aap kabhi thage jaye toh aap kabhi bhi kisi insan ki baat ko sunkar ya uske tips ko follow karke apne paiso ko kahi bhi invast na kare kyuki agar aap kisi dusre ki baato ke hisaab se apne paiso ko invast karte hain toh ho sakta hain ki woh insan hi aapko dhokha dene ki firaq main ho aur aap wahi insan aaoko thag le ya fir yeh bhi ho sakta hain ki woh insan bewakuf nikle aur apni bewakufi ke karan woh aapko kisi galat jagah par invast karwa de. Ayese situation main aapke liye yahi better hoga ki aap sonch samajh kar apne vichar aur buddhi ka istemaal kare aur sahi jagah par invast kare
Aap bhi kahege ki kya ghalmel hai. Sath hi keh rahe hain ki main apko tips deta hoon aur sath hi keh rahe hain ki tips se door rahe. Vastav main apko kin company ke shares main nivesh kare aise tips nahi dene wala. Yaha main apko yeh bata raha hoon ki kaise share bajar main nivesh kare. Toh sabse pehli baat mitro, rishtedaro aur bokro ke bataye tips par ya bajar main feli afwaho ke adhar par nivesh na kare. Yeh bahut hi khatarnak ho sakta hai.

Khud ko shikshit kare

Balance sheet aur company ke results ko padhna aur samajhna sikhe. Yadi apki shiksha commerce streem se nahi hai toh thoda aur savdhan rahe. Bajar ke bare main adheek se adheek jaankari ikattha kare. Regular roop se economic times jaise newspaper padhe aur CNBC awaz jaise channel dekhe. Iske alwa internet par nivesh related jankariya ikathi kare. Jab apko bajar ke bare main aatmavishwash jagne lage toh bhi nivesh karne se pehle 2-3 company ko choose karle jaha apko lage ki nivesh karna sahi rahega. Uske baad un company ke bhavo par regular najar rakhe. Kam se kam ek month apni is company par najar rakhe. Yadi lage ki apka chunav sahi tha aap bajar main jaane ke bare main soch sakte hain.

Starting kam paise se kare

Shuruaat main naam matra ka nivesh kare aur anubhav prapt kare. Ekdam se jayda paise daav par na lagaye. Waise bhi bajar main ek sath bada nivesh karne se bachna chaiye aur apne paise ka ek ek part regular roop se nivesh karna chaiye.
Humne upar ke lekh main aap logo ko yeh clearly bataya hain ki hume apne paiso ko kisi jagah par  invast karte samay kin kin baato ka khayal rakhna chahiye. End main aap logo se humari yehi request hain ki aap log inn tricks ko follow kariye aur apne paiso ko sahi jagah par invast karke nuksan ka samna karne se bachiye aur apne iss business main bharpur profit kama lijiye.
Thanks For Reading My Blog.




.

 

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Categories

Blog Archive