HindinHelp.Blogspot.In Official Blog. Help In Hindi Read Daily New Article and News

Thursday 15 December 2016

Google AdSense Rules Hindi – Protect AdSense Account Hindi

Google AdSense Rules Hindi – Protect AdSense Account Hindi

 

AdSense Rules Hindi – Protect AdSense Account Hindi

Hello Bloggers,Mai Ashutosh KumarApke Liye Laya Hoon Kucch Adsense Se Judi Jankari. hamara aaj ka topic bahut hi important he. AdSense Rules Hindi – AdSense Account Ko Protect kaise kare. Humne internet par dekha ki kisine properly AdSense Rules Hindi me share kiye hai ki nahi par hume kucch accha result nahi mila. Is article me humne kafi had tak detailed guide likhneki koshihs ki hai. Aapke website par AdSense disbale ho ne se bachne ke liye ye sabhi policies follow kijiye.

Dont click on your own Ads – Khud ke ads par kabhi click na kare.

Apni khud ki ads par click na kare. Agar esa koi bhi karta hai, to Google ise foran disable kar deti hai. Google kabhi kabhi galti se kiye gaye clicks ko maaf kar deti hai. Par yad rahe, bhul se bhi ads par click na kare. Click na ho is ke liye aap Google Publisher toolbar install kare. Is extension se aapke sites ke ads overlay mode me non clickable ho jate hai. Incase aapne galti se click kar diya hai to aap foran Google ko ek email send kare aur bataye ki is samay is IP se aapne galti se click kar diya tha, aur us click ko count na kare. Isse shayad hi aap bach sakte ho.

Think like a user – Visitor ki jagah se socho.

Agar aapko aapka AdSense account achhe satnding position par rakhna hai to aap khud ek visitor ki jagah hokar aapki site ko dekhiye. Accha quality content hi kisi bhi user ki need hoti hai. Isliye apne har article me achhe se accha aur original content hi likhe. jo bhi jankari aap lihenge wo sabse best aur detailed level ko honi chahiye. Agar koi use aapke site par aaya hai to jo wo dhund raha tha use milna chahiye, na ki sirf apne ads use show kare.

Keep it family-safe and legal – Jankari adhikrut aur surakhit honi chahiye.

Aap pehle jaan le ki Ads dikhane ke liye aapki site uchit he ya nahi. Google sirf un sites ko allow karta hai, jaha par sabhi umra ke log content padh sakte hai. Jaha kisi bhi prakar ki anuchit jankari nahi publish ki jati he. Aap content publish karne se pehle ye dekh aur samajh le ki kya ye jankari guiedlines ke anusar hai ya nahi. Aisi jankari likhiye ki baccho se lekar budho tak wo jankari padh sake. Aur jankari kisi bhi tarah ki saath ke logo me dekhi ja sake.

Maximize content, not ads per page – Content badhaye, Ads nahi.

Agar aapko yah samjh me aa gaya ki content quality aur unique hona chahiye, to fir is baat ko acchi tarah samjh le ki main focus content par rakhe, ads par nahi. Ads baad me content pehle. Content accha aur puri detailed jankari likhiye. Ad units kam dikhayiye, aur jankari jo user dhund raha he wo badhaye. Taki Google Search console bhi acchi tarah se samj kar use properly SERP me index kar sake.

Avoid deceptive layouts – Confusing layout ya theme na rakhe.

Apni website ka layout ya strucutre aisa rakhe ki Ads aur content acchi tarah se distinguish hona chahiye. Is rule ki main vajah hai, invalid clicks. Agar aap image ke pas hi ad laga rahe hai to use accidentaly image ki jagah par ads par click kar dega, jaha use click nahi karna tha.  Images se ads ko thode distance par rakhe. Ads ko slideshow flash, games aise content se uchit duri par hi place kare. jisse ads par accidental clicks kam honge.

Avaoid site layouts that push content below fold.

Aapki site ki theme bhi aisi hi rakhe jaha content sabse upar dikhta ho. Chahe wo movile viewer ho ya desktop viewer. Sabse pehli priotity content ko de. Content ke baju me ya fir content ki middle me ads placement kare. Ads jo content ko fold ke niche dhakel deti hai, wese layouts ko Google turant disapprove kar deti hai. Below the Fold ka meaning hai – initial screen ke liche, Jab hum site open karte hai, aur bina scroll kiya jo content hume dikhta hai wo content hota hai above the fold. aur screen scroll karne ke bad, ya fir site ke middle se lekar niche wale hisse ko below the fold kehte hai.

Don’t duplicate Content – Content unique rakhe, Copy na kare.

Aapko agar really rank karna hai Google SERP me, ya AdSense Ads ke liye to fir ye rule dhya me rakhe. Aapko mainly focus karna hai great content banane me, na ki dusro ka content copy kar ke use apni website par dalkar. Sirf esa hi nahi ki dusri sites se copy kiya nahi chalega, balki khud ke site me bhi smae content ko alag alag pages par mat dohoraye. User ko dhyan me rakh kar hi apna best aur great content likhiye.

Track your traffic – Invalid traffic roj jaanche.

Traffic par AdSense bohot jor deta hai. Blog par traffic pure, organic aur real users se hi honi chahiye. Organic way se jada se jada traffic drive honi chahiye. Organic to Socail trafficka ratio hai 70:30. iska matlab hai 70% se jada traffic real aur organic honi chahiye. Iski real time details paane ke liye aap Analytics accounts me metrics add kar sakte ho aur alerts se khud ko suchit kar sakte ho. URL parameters use kar ke traffic ki time to time jaanch kare.

Dont modify the AdSense code – Ad unit code ko na badle.

Jo bhi ad unit code AdSense admin portal se generate hota hai, sirf wo ho code site par daale. Aur kisi bhi tarah ka mdification ad unit me nahi hona chahiye. Kai blogger kasar ye galtiya karte ki javascript ki file sirf ek baar call karte hai, aur sirf ad block ko hi place karte hai. Baki bloggers CSS styling karne ke liye width ko 100% kar dete hai. Ye aise tricks Google allow nahi karti. Agar kuch bhi modfiy karna hai, to pehle Google team se contact kar ke uska approval le.
Ye the Google AdSense Rules Hindi version me, jo Google ki official site se aur unke diye gaye Presentation se humne Hindi me convert kiye hai. Ummid he aap in points ka dhyan rakhoge. Apne blogger bhaiyo se ye guide jaroor share kare.




 

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Categories

Blog Archive