HindinHelp.Blogspot.In Official Blog. Help In Hindi Read Daily New Article and News

Monday 19 December 2016

Google Allo App – Features – App Kaise Use Kare



Google Allo App – Features – App Kaise Use Kare


Hello friends, main ashutosh kumar aaj aapko bataunga ki Google Allo app kya hota hai and Google Allo App kaise use kare. Dosto Google Allo App ek messenger application hai jo Google ne hi create kiya hai. Google Allo aapke WhatsApp jaise hi messenger ka kaam karta hai or ye aapko WhatApp se kai jyda features pradaan karta hai. Isme ek feature hota hai incognito mode isko aap jab on kar dete hai to ye aapke koi bhi messages, chat, calls save karke nahi rakhta hai or aapko ek acchi security pradaan karta hai. Google allo app me acchi security hone ki wajah se aapke google allo account ko koi hack bhi nahi kar sakta.

Google Allo App Hindi Basics

Google allo app ko internet ki sabse badi company google ne september- 2016 me launch kiya hai or google allo app ko abhi aap sirf ios and android mobile phone me hi use kar sakte hai. Google allo app me aap messaging se bhi badhkar bahut kuch kar sakte hai. Isme aap koi bhi news or newspaper padh sakte hai, koi bhi hindi or english words ka translation kar sakte hai, koi bhi jankari search kar sakte hai. Saath hi aap google allo app me smart reply, photo or sticker ko share, koi bhi prakaar ki help, ye sab kar sakte hai. Apne in sab features ke kaaran google allo app ko google assistant bhi kaha jata hai. Kyon ki ye aapke ek assistant ki tarah kaam karta hai. Dosto yadi aap baithe-baithe bore ho rahe hai aap isme games or puzzles bhi khel sakte hai. Isme aap what’s app or hike jaise group bhi bana sakte hai or group chatting bhi kar sakte hai.

Google Allo App Kaise Use Kare

Step -1. Google allo app ko aap play store se download kar sakte hai. Isko download karne ke baad ise install karle fir ise open kare.

Step -2. Isko kholne ke baad aapke saamne verify your number pop up khulega usme apna mobile no enter karde. Ab aapke mobile no par ek verification code aayega us code ko enter karde.

Step -3. Verification code ko daalne ke baad ye aapko apna profile photo or name ko enter karne ko bolega. Tab aap ek photo khichkar ya gallery me se upload karke apna naam daal de or next par click karde.

Step -4. Ab aapka google allo account create ho gaya hai. Ab aap start a group chat par click karke koi bhi group create kar sakte ho or apne friends se chat or messaging kar sakte ho.

Step -5. Aap google assistant par click karke kuch bhi likhkar apna reply bhi paa sakte ho, iske google assistant se aap auto fast reply bhi kar sakte hai.

Step -6. Jab aap kisi se chat karenge or kisi bhi text ko type karenge to ye aapko auto reply word bhi suggest karega jisse aapko jyada text bhi type nahi karna padega or aap fast reply bhi kar payenge.

Step -7. Isme ek incognite mode bhi hota hai jise on karke aap apni chatting or messages ko safe kar sakte hai or ye aapke in data ko save bhi nahi karega. Es me aap apne dwara type kiye gaye text ka font bhi change kar sakte hai. Iske liye aapko text ko large karna hai to “louder” bolna hoga or “quieter” bolkar font bhi change kar sakte hai.

Step -8. Google allo me aapko bahut saare sticker bhi share karne ke liye milenge or iske alawa aap iske aditor me naye stickers bhi bana sakte ho.

Google Smart Assistant

Ye google allo ka ek aisa feature hai jisse aap khud baat kar sakte ho. Is feature se aap bina koi text likhe chat kar sakte ho ye indian english or us english ko acchi tarah se samajhta hai. Iske dwara aap apne mobile me alarm set kar sakte hai. Apne contact me se kisi bhi contact par call kar sakte ho, meeting time set kar sakte ho. Google assistant me aap bahut saare topics bhi puch sakte ho. Jaise apne aas paas ke mousam, apni location, aas paas ki hotels or restaurant ki list, mandir or forts ke baare me. Ye sab puchne ke liye aapko english me in cheejo ke baare me bolna hoga, jaise -what is the weather in dewas, what are the best hotels in indore etc. Tab ye aapko in sab ke baare me batayega. Dosto yadi aap baithe baithe bore ho rahe hai to aapko likhna ya bolna hoga “i am bored” tab ye aapko entertainment ke kai option automatic show karega jaise games, puzzles, funny jokes, videos etc.

Is prakaar Google Allo App aapko what’s app or hike se bahut acchi service or features de raha hai or yadi aap apne google account ko isse connect kar dete ho to ye aapko bahut fast service deta hai.

Thanks...

 

 

 

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Categories

Blog Archive