HindinHelp.Blogspot.In Official Blog. Help In Hindi Read Daily New Article and News

Friday 16 December 2016

Job aur Padhai Kaise Manage Kare – जॉब और पढ़ाई कैसे मॅनेज करे






Hello friends, Main Ashutosh Kiumar Aaj Aapko Ye Batunga Ki Aap apni Padhai Aur jobs Kaise Manage Kare.


  Job aur Padhai Kaise Manage Kare – जॉब और पढ़ाई करे मॅनेज

Naukri aur padhai dono saath saath karna koi aasan kaam nahi hai. Bahoot kam log hi padhai ke dauran kisi tarah ki naukri kar paate hai. Aaiye jaante hai ki dono ke beech taalmel bithakar aap kis tarah padhai ke saath saath aarthik rup se nirbhar ban sakte hai. To chaliye jane Job Aur Padhai Kaise Manage Kare जॉब और पढ़ाई की जानकारी Hindi Me.

Job and padhayi

Job and padhayi ek sath karna kitna mushkil hota hain yeh sirf wahi samajh sakta hain jo ek sath job aur padhayi manage karta hain. Lekin apne kisi mazburi ke wajah se hi hume ek sath job aur padhayi manage karne ki zarurat par jati hain. Ayese main un logo ke liye jo padhayi ke sath sath job bhi karte hain yeh jan lena bahut zaruri hain ki hum apni job aur padhayi ko ek manage karne ke liye kya kya kar sakte hain. Aap logo ko issi kshetra main kuchh tips dene ke liye hum aaj ka humara yeh lekh lekar aaye hain. Agar aap log ek baar iss article ko acchi tarah se read kar lenge toh aap logo ke liye bahut asan ho jayega job aur padhayi ek sath karna. Yeh tarike jada mushkil bilkul bhi nahi hain, bas inn tricks ko ek baar acche se padhne ki aur follow karne ki zarurat hain fir dekhiye kaise iu chutkiyo main manage hota hain aap logo ka job aur padhayi ek sath.

Job aur padhayi manage karne ke kuchh asan tips

Time Ka Management

Padhai ke saath job karne ke liye sabse jaruri hai time management. Aap apne time ko jitni kushalta se batenge, aapko dono kamo me utni hi saflta milegi. Atah padhai ke liye prayapt samay nikalkar hi part time job ke liye apply kare. Agar aap subah college jaate hai to dopehar ke baad ka vakt naukri ko de.


 

Faltu Chijon Ko Tyage

Padhai ke saath aarthik rup se saksham hone ke liye aapko apne dincharya se judi cheejon ka tyag karna hoga. Udharan ke tour par aap yadi pratidin 2 ghante tv dekhte hai ya baahar doston ke saath ghumne jaate hai to aapko in par rok lagani hogi. Part time job karne par bhi aapko apna daily routine anushashit karna hoga.

Padhai Ko Prathmikta de

Padhai ke douran naukri karte samay is baat ka khas dhayan rakhe ki naukri ke chalte aap padhai ko bojh na samajhne lage. Padhai aapki prathmikta hai, yeh baat aapko hamesha dhayan me rakhni hogi. Behter hoga ki aap koi aisa apne khud ka nirdharit job chune, jisme padhai ke hisab se der se jaana ya kai baar na jaana sambhav ho aur isse aapki naukri par koi aanch na aaye.

Part Time Job Hi Kare

Behatarin yojna ki jarurat padhai ke saath job karne ke liye sabse jaruri hai sahi planning. Tabhi aap dono kaam achchi tarah kar sakte hai. Saath hi kisi ek ko dusre par havi na hone de. Padhai ke baad bache huye vakt me hi naukri ke baare me soche. Achcha hoga ki padhai ke saath part time job bhi kare, na ki full time.

Padhai ke saath aarthik rup se saksham hone ke liye aapko apni rojana se judi kuch cheejon ke tyag karna hoga. Udharan ke tour par aap yadi pratidin 2 ghante tv dekhte ya koi aur alag kaam karte hai to use aapko rokna hoga. Aapko har kaam nischit samay me pura karna hoga.

Aap apni time ko jitni kushalta ke saath batenge aapko dono kaam me utni hi safalta milegi. Padhai ke dauran naukri karte vakt is baat ka khas dhyan rakhe ki job ke chalte aap padhai ko bojh na samjhne lage. Padhai aapki prathmikta hai, yeh baat aapko hamesha dhayan me rakhni hogi. Agar aap aage chalkar yadi teacher banana chahte hai to class ya fir tution lekar part time job karke apne career ki shurvaat kar sakte hai.

Subah 5 baje jagkar apni padhayi kar le

Yeh ek bahut accha tarika hain padhayi karne ka. Aap subah kam se kam 5 baje jag jaiye aur muh hath dhokar fresh ho jaiye. Agar aapko chay banana aata hain toh aap gas par 1 cup chay chadha dijiye. Chay pine ke baad aapki nind puri tarah se khul jayegi aur aap bahut fresh feel karenge. Uske baad aap apne kamre ki light in lijiye aur padhayi karne baitth jaiye. Aap agar 5 baje jag kar uss time se padhayi karna start karenge toh aap kan se kam 2 ghanta easily padh payenge.

7 baje tak padhayi karne ke baad aap apni books ko rakhkar apne baki kaamo ko kar sakte hain. Aapko 7 baje tak padhayi karne main koi problem nahi hogi kyuki wese bhi log normally 7 baje jag jate hain toh aap bhi sorgul se mukt hokar 2 ghante aram se padh sakte hain aur 7 baje se apni family ko join kar sakte hain. Iske baad agar aap pura din nahi bhi padhenge toh aapki padhayi main koi problem nahi ayegi.

Home job chune

Aap agar ek student hain aur aap job bhi karna chahte hain toh meri salah hain ki aap koi ayesa job chune jo aap apne ghar se kar sake. Aaj kal ayese bahut sare ayese job mill jate hain jo hum ghar par rahkar bhi kar sakte hain. Khaskar online through ayese job badi asani se mill jate hain bas thoda sa knowledge, ek computer aur internet karne ki zarurat padti hain. Aaj kal internet ke jamane main humare liye ek home job dhundhna jada mushkil bhi nahi hain.

Agar aap log ghar pe rahkar kaam karenge toh aapke upar kaam ka jada pressure nahi hoga aur aap log jitna kaam karenge utna hi aapko paisa milega. Ayese main agar aapko kisi din jada padhayi ho ya koi urgent kaam ho toh uss din up kaam nahi bhi karenge toh koi fark nahi parega. Agar aap home job karenge toh aap apna time bhi badi asani se manage kar payenge. Toh mujhe lagta hain ki aap logo ke liye yeh sabse better option hain padhayi bhi karne ka aur padhayi ke sath sath job bhi karne ka.

Toh jab aap logo ko pata chal gaya hain ki hum apni job aur padhayi ko ek sath kaise manage kar sakte hain toh bas aap log in tricks ko ajmaiye aur apni job aur padhayi ko ek sath acche se maintain kariye.

 

 

 

 

 

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Categories

Blog Archive