HindinHelp.Blogspot.In Official Blog. Help In Hindi Read Daily New Article and News

Wednesday 14 December 2016

Mobile Se Virus Kaise Nikale – Step By Step Guide | मोबाइल से वायरस कैसे निकालें

Mobile Se Virus Kaise Nikale
 Aaj kal ham apne mobile mein internet ka bahut istemaal karte hain. Yeh mobile bhi aaj computer aur lapto ki tarah kaam kar rahe hain aur inmein saare features hote hain. Isliye un features ko use karne ke liye hum anek websites se gaane, video, wallpaper aadi download karte rehte hain. Inmein se kuch websites se to downloding surkshit hoti hai par kuch websites se downloading karne par hamare mobile mein virus aa jaata hai. To chaliye jane Mobile Se Virus Kaise Nikale step by step guide.
 Aajke iss lekh main hum aap logo ko yeh batayenge ki apne phone se virus ko remove karne ke liye kin kin tariko ko apna sakte hain. Ab aap log iss bare main zada mat sonchiye aur inn tricks ko ek baar read kariye aur uske baad follow bhi kariye. Hume puri ummid hain ki aap logo ko is lekh se aur inn tricks se zarur fayeda hoga aur aap log apne mobile phone se virus ko remove karne main zarur safal ho payenge.

Mobile phone se virus ko remove karne ke asan tricks

Kya hota hai internet virus

Internet se aaya hua virus inssan dwara banaya gaya hi computer program hai. Jo apne swarth ke liye yani anti virus ko bechne ke liye banaya hai. Yeh virus jab bhi mobile mein aa jaata hai to uski karyapranali ko prabhavit karne lagta hai. Issay woh mobile dhire kaam karta hai. Baar baar karya karte huye ruk jaata hai ya kabh kabhi to aapke saare data ko hi remove kar deta hai. Aise mein Mobile se virus nikalna bahut zaroori ho jata hai.

Anti virus ko install karen

Aap ke mobile mein ek anti virus zaroor hona chahiye jo samay samay par aa rahe virus ko remove karta rahe. Iskay saath hi dhyan rakhen ki keval anti virus ko install karna hi paryapt nahi hai. Apko usay niyamit roop se update bhi karte rahna chahiye. Jab bhi aap apne mbile mein internet connect karen pata karte rahen ki apke anti virus ko kaun sa update chahiye. Mobile ke liye anek anti virus hain jinme Avast, AVG technologies, Kaspersky, McAfee, Quick Heal, aadi pramukh hain.

Free anti-virus ka upyog karen

Aap apne mobile ka virus scan karne ke liye free wale anti virus ka bhi prayog kar sakte hain. Isay install karne ke baad update kar len aur kuch samay baad phir isay update karte rahen. Isay install karne ke liye free anti virus dene wali kisi bhi acchi website ka use karen. Download karne ke liye link par click karne. Jab yeh download ho jaay to iskay download huay setup par double click karen. Iskay baad sabhi nirdeshon ka palan karte huay isay install kar len aur update karen. Update hone ke baad sabhi program band kar len aur mobile ko anti virus se scan kare.

Online virus scanner

Mobile mein kaun sa virus hai jaane ke liye aap online virus scaaner ka bhi prayog kar sakte hain. Aap apne mobile mein google open karke usmay online virus scanner search karen. Iskay baad up us scanner ko shuru kar pata kar sakte hain ki aapke mobile mein kaun sa virus hai aur kitna virus hai. Aur phir us hisab se anti virus install kar sakte hain.

Mobile switch on karne ke baad scan karen

Jab aap apna mobile switch on karte hain to sabse pehle apne mobile ko scan karen. Agar aapne antivirs install kiya hua hai to woh scan ke saath mobile mein aaye huye virus ko rmove bhi karta chala jaayega. Aur is tarah aapke mobile ki speed badhti jaayegi. Scan karne ke baad yeh bhi sunishit ho jaayega ki apka mobile ka system sahi chal raha hai. Koi bhi aisa program mobile mein internet ke jariye nahin aaya hai jo aapke mobile ki karyapranali ko prabhavit kare.

Mobile ka manual padhen

Jab apko pata lag jaaye ki apke mobile mein virus aa gaya hai to aap mobile ke khareedne par saath aaya manual yani kitab ko padhe. Pata karen ki mobile ko uski pehle jaisi sthti yani factory setting par kaise laya jaa sakta hai. Iskay baad aap mobile ko factory setting par le aayen. Issay apka data ramove ho jayega par aapke mobile se virus bhi door ho jaayega.

Website ke baare mein rai pata karke

Jab kabhi aap koi application kisi website se download kar rahe hain to sabse pehle us website aur application ke baare mein niche likhi logon ki rai padhen. Yadi adhikansh log uske baare mein sahi rai nahi dete hain to aap us website se woh application download nahin karen. Is prakar aap apne mobile mein virus ke pravesh ko rok skenge.

Kiske bhi phone ya computer se bina sonche samjhe sharing na kare

Aap agar nahi chahte ki aapke mobile main virus ki entry ho toh aap kabhi bhi kisike mobile phone ya computer se bina sonche samjhe sharing na kare. Ayesa karne se aapke mobile main virus pravesh kar sakta hain aur aapke mobile phone ko hani pahucha sakta hain. Agar aapko kisike mobile phone ya computer se apne phone ko connect karna ho ya kisi anjan mobile se apne mobile phone main sharing karna ho toh aap pahle yeh acchi tarah se check kar le ki uss mobile phone ya computer main pahle se virus toh maujud nahi hain. Jab aap iss baat ko confirm kar le ki jis mobile phone se aap sharing kar rahe hain uss mobile phone main koi virus maujud nahi hain tabhi aap uss mobile phone ya computer se apne mobile phone ko connect kare ya apne mobile phone ke sath sharing kare.

Apne mobile phone ke sath milne wali book ko padhe

um sab jab bhi mobile phone kharidte hain toh uss mobile phone ke sath hume ek chhota size ka book milta hain. Toh hum aapko salah denge ki aapke mobile phone main agar virus ghus jaye toh uss virus ko remove karne ke liye aap log mobile phone ke sath milne wali uss book ko read kariye. Agar aap log uss book ko read karenge toh uss book main factory reset settings main jane ka tarika likha hoga. Uss book main diye gaye tariko se aap factory setting main chale jaiye aur factory reset setting main mobile ko le aaye. Ayesa karne se aapka data remove ho jayega magar aapka mobile phone virus se mukt ho jayega.
Kisi bhi app ko download karne se pahle uss website ke bare main puri jankari hasil kar le : Agar aap kisi app ko download kar rahe hain toh aap jis website se uss app ko download kar rahe hain uss website ki puri jankari hasil kar le. Agar aap puri jankari ke sath kisi bhi app ko download karenge toh aapke mobile phone main virus pravesh nahi kar payega aur aapka mobile phone virus se puri tarah se mukt rahega.
Upar lekh main humne yeh bataya hain ki mobile phone se virus ko remove karne ke best tarike kaun kaun se hain. Dost ne mobile phone main ghus jane wale virus humare mobile phone ko kis tarah se harm karte hain yeh hume aap logo ko batane ki zarurat nahi hain kyuki aaj kal har koi mobile phone ka use karta hain aur mobile phone ke bare main besic knowledge rakhta hain. Toh dosto aap log inn tricks ko follow kariye aur apne mobile phone main ghuse virus ko apne mobile phone se remove kar dijiye.

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Categories

Blog Archive