HindinHelp.Blogspot.In Official Blog. Help In Hindi Read Daily New Article and News

Thursday 15 December 2016

Online Net Banking Kaise Kare | ऑनलाइन नेट बैंकिंग कैसे करे

Online Net Banking Kaise Kare | ऑनलाइन नेट बैंकिंग कैसे करे

Dosto aaj ke humare iss lekh ka topic hain Online Net Banking Kaise Kare. Jaisa ki aap sab ko yeh malum hain ki aaj kal banko main line lagna kitna irritating hota hain. Aise main agar aap logo ko yeh pata ho ki online net banking kaise kiya jata hain toh aap logo ko bank ki lines main khade hone ki zarurat nahi padegi aur aap log ghar baithe hi apne account se related har ek kaam ko bade asani aur saralta ke saath kar payenge. Kuchh logo ko yeh lagta hoga ki online net banking karna ek bahut hi mushkil kaam hain. Lekin agar aap log ek baar iss pure lekh ko acchi tarah se read kar lenge aur samajh lenge toh aap logo ko online net banking ke bare main puri jankari ho jayegi tab aap logo ko yahi kaam bahut easy lagne lagega. Toh deri kis baat ki, bina ek bhi pal gawaye aaiye jan lete hain ki online net banking karne ke kya kya tarike hain aur kaise hum ghar baithe apne account se related har ek kaam ko asani aur saralta ke sath kar sakte hain.

Online net banking karne ke liye kuchh asan aur saral tips

Agar aapko online net banking karni hain toh kisi bank main aapka account hona zaruri hain. Net banking karne ke liye sabse pahle aapko apne bank main jakar online net banking ka form fill up karna hoga. Jab woh form fill up ho jayega toh dusre din aapko bank ke dwara online net banking ke liye username aur ID de diya jayega. Uske baad aap online net bankingKar sakte hain.

Registration

Aap ghar baithe bank ke website par jakar bhi apne registration kar sakte hain. Iske liye aapko pahle uss website ko open karna hoga. Bank ke website ko open karne ke baad personal user main new usar registration par click karna hoga. Jab aap new user registration par click karoge tab aapke samne ek pop up window show karega jis par aapko click karna hain.
  • Ab aapke samne ek form show karega jisse aapko fill up karna hain. Aapko uss form main apne bank account ki sari details bhar deni hogi.
  • Ab aapke resisted mobile number par jo OTP (One time password) ayega usko enter kar dijiye aur uske baad aap confirm par click kar dijiye.
 Itna karne ke baad aapke pass do options honge.

1. You have ATM card (Online registration without branch visit).
2. You don’t have ATM card (Activation by branch visit)
  • Ab aapko 1 number wale option ko choose karna hain, iska matlab hain ki aapke pass ATM card maujud hain. Kyuki agar aapke pass ATM card maujud nahi hain toh aapko net banking ki suvidha ka labh utthane ke liye aapko apne branch main jana hoga.
  • Ab aapko apne account se 1 rupaye ka transaction karna hoga iske liye aapko apne ATM ki details ko enter karna hoga aur fir submit button par click karna hoga.
  • Ab aapko billing information dikhayi dekhi. Tab aapko pay par click karna hoga.
  • Itna kaam ho jane ke baad aapka temporary user name show karega. Aapko sirf itna karne ki zarurat hain ki aap uss user name ko kisi copy ke upar utar le ya usko yaad kar le.
  • Uske baad new login password dale aur usko dobara daal kar confirm kar le aur submit button par click kar dijiye.

 

  • Ab aapne online net banking ke liye successfully register kar liya hain. Lekin aapka user name aur password temporary hain. 10 – 15 minute ke baad aap uss user id aur pass word ke dwara login kareLogin karne ke baad aapko apna user name aur password creakarna hain jo user name aur password aapka permanent hoga.
  • Ab aapko profile main jakar apna profile password create karna hoga. Yaad rakhiye profile password air login password different hota hain.
  • Uske baad aapko security question main jakar uska question aapko fill up karna hain. Jab aap password bhul jayenge toh yeh question aap recovery ke liye use karenge.
  • Ab aappka account online net banking ke liye register ho chuka hain. Online net banking ke dwara aap ghar baithe asani se apna balance check kar sakte hain. Iske liye bas aapko apne bank ki website par jana hoga. Isse aap ghar baithe apne 10 transection ki jankari le sakte hain. Jisse aapke khate main kitna balahain woh clearly pata chal jayega.

    Mini statement kya hain

    Mini statement ka matlab hain aapne last jo 10 transection kiya hain uska hisab. Agar aap apne account ki mini statement nikalwate ho toh aapke khate main last 10 transection yane ki aapne last 10 baar kitne withdraw kiya hain, kitna paisa aapke khate main deposit hua hain, kitna byaj aapke khate main jama hua hain woh sab show karega.

    Loan options

    Jis tarah se hum loan ke liye bank main apply karte hain thik ussi tarah se hum online bhi application de sakte hain. Loan lene ke liye humare paas kagaji praman mazbut hone chahiye. Sath sath humare account ka transaction damdar hona chahiye. Agar aapke khate main thoda moda rupaye ka transaction hota hain aur ya mahine ki akhir tak aapka account khali ho jata hain toh sambhav hain ki bank aapke loan ko approve na kare. Isiliye agar aapko loan chahiye toh aapke account mazbur hona chahiye.

    Balance transfer

    Online net banking ke dwara balance transfer karna bahut zada easy hain. Iske liye bas aapko bank ke website ko open karna hoga. Website open hone ke baad aapko niyam anusar kaam karna hoga. Iske liye aapko uss insan ke name aur account number ki zarurat paregi jis insan ke account main aapko paise transfer karna hain.
    Ummid karte hain ab tak aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa gaya hain ki online net banking karne ke tricks kya kya hain. Toh ab jab aap logo ko online net banking ke bare main bistar main jankari mil hi gayi hain toh ab aap logo ko bank ki line main khare hokar apne kimti samay ko barbaad karne ki bilkul bhi zarurat nahi hain. Bas aap log humare iss lekh main diye gaye inn tricks ko follow kariye aur bank ki line main khare hokar khud ko taklif dene ke aur apne kimti waqt ko barbaad karne ke bajay ghar baithe aram se apne account se related sare karyo ko nishchinta hokar pura kar lijiye.



0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Categories

Blog Archive