Engilsh Kaise Sikhe – Angreji Kaise Bole | इंग्लीश मे कैसे बात करे
Hello, Friends. Main Ashutosh Kumar. Aaj Aapko Batunga Ki English kaise Sikhe.
Angriji sikhana itna bhi mushkil nahi hai jitna hum sochte hai bus apni jindagi me kuch tips apnaiye aur English bolna sikh jaaiye. Uske liye hum apko kuch ideas de rahe hai jise agar aap apnayenge to English sikhne me aasani hogi. Chaliye jane Engilsh Kaise Sikhe , Angreji Bole.
English sikhna aur english bolna har ek insan ka saukh aur sapna hota hain. Har koi chahta hain ki woh english main bole. Lekin zadatar logo ko english bolne main kafi problem hoti hain. Aaj ke humare iss lekh ka topic hain english sikhne ke tarike. Toh agar aap logo ko english bolne main problem hoti hain toh aap logo se hum yahi kahenge ki aap log humare iss lekh ko dhyan se padhiye aur iss lekh main diye gaye kuchh tricks ko acchi tarah se follow kariye.
English sikhne ke kuchh asan aur saral tarike
Darna chhor de
Agar aap english sikhna chahte hain aur
english main baat karna chahte hain toh aap sabse pahle aapka english ke
prati jo dar hain uss dar ko puri tarah se tyag de kyuki agar aapke man
aur mashtishka ke upar dar heavy rahega toh aap kabhi bhi english
sikhne ke upar focus nahi kar payenge aur tab aap english bhi nahi sikh
payenge. Isiliye aap kabhi bhi english se dare nahi balki pura hausla
aur himmat ke sath english ke gahrai main jaye aur usko sikhne ka prayas
kare. Tabhi aap english ko sikh payenge aur english main baat kar
payenge.
Grammar ke upar zada dhyan nahi de
Agar aap log english ke grammar ke upar
dhyan zada denge aur har sentence ko bolte samay grammar ke hisaab se
match karke bolne ki koshish karenge toh aap log kabhi bhi english main
smart nahi ho payenge aur kabhi bhi saaf saaf english nahi bol payenge
lekin agar aap log har waqt english bolte rahenge aur english bolte
samay grammar ko baar baar yaad nahi karenge toh dheere dheere aapka
grammar automatically thik ho jayega aur aapki english bolne ki speed
bhi acchi rahegi. Isiliye aap log chahe sahi ho ya galat lekin firbhi
humesha english bolte rahe aur apni galtio ko sudharte rahe.
English ko kabhi bhi ek subject ya duty na samjhe
Agar hum english ko ek subject ya duty
samjhenge toh hum kabhi bhi english ke upar focus nahi kar payenge aur
kabhi bhi english nahi sikh payenge. Lekin agar hum english ko ek
manoranjan ki tarah lenge toh hum english main focus bhi kar payenge aur
english sikhne main safal bhi ho payenge. Aap log jitna ho sake utna
english main apne ruchi ko badhawa dijiye aur english main apne
excitement ko badhaiye. Agar aap logo ka ruchi english main rahega tabhi
aap log english sikh payenge aur english bol bhi payenge.
TV, Internet etc. ki madat se english sikhne ka prayas kare
Aap agar bahut kam samay ke andar
english sikhna chahte hain aur acchi tarah se english bolna chahte hain
toh aap TV, main dikhaye jane wale english programs ko dekh kar english
sikhne ka prayas kar sakte hain. Isike alawa bhi aap log internet ke
madhyam se bhi english sikh sakte hain. Aaj kal online class karke bhi
english sikhna sambhav ho gaya hain. Toh aap log bhi online class join
kar sakte hain aur online english sikh sakte hain.
Hindi bilkul band
Kuch dino tak apko bahot ajeeb hi
lagega, par aap TV par English serial dekhege, English gaane sunege,
English news sunege, English movie dekhege. english newspaper padhege,
english books padhege, English comics, story padhege. Apki
bhasha(language) sirf ek honi chaiye wo hai English. Aapko bhag jane ka
man karega, hindi gane aur picture dekhne ka man karega, par English
apko achchi tarah lagegi jab aap uski adaat dale. Is adaat ko banane
main 10-20 din tak lag sakte hai. Tab apko thoda sa samajh mai aane
lagega.
English songs ki tune apko pasand ane
lagegi. English picture ke kuch dialogue apko samajh mai ane lagenge.
Bas itna hi karna hai aur is baat ko ek saal tak barkarar rakhna hai.
Tab apka koi dost hindi picture aur song sunne ko bole toh ap bole ki
mai sirf English song aur picture dekhta hoon, aur aap uski shakal dekhe
aur dekhiye ki apke dost bhi apka apka anusaran karenge.
Friends Banaye
Wo friends jo English bolte hai, unka
group hi aisa hota hai jaha par sab log English main jayda baatchit
karte hai. Jab hum ache aur quality wale logo ke sath rehte hain toh
hame lagta hai ki unke sath rehkar hum bhi unke jaise ban jayege. Aisa
hota nahi hai sath rehne se koi bhi unke jaisa nahi ban jata par iska
profit ye hota hai ki hum jab compare karte hain apke aur unke quality
ki tab jo hamare pass nahi hai usko pane ke liye prayaas karte hain ye
prayaas koi chota mota prayass nahi hota hai balki raat din ki mehnat
hoti hai.
Example agar apka friend class mai
topper hai toh wo uske liye 96-97 hours study karta hai, agar apko us
jaisa banna hai toh utni hi study karni padegi.
Newspaper jor se bolkar padhe
Sabse pehle kaam hai English bolna.
Bolne ka kaam mooh karta hai, jibh karti hai, aur usko English bolne ki
adat nahi hai. Toh sabse pehle ye adat dalni hai. Aap jab jor se bolke
padhna shuru karenge tab apko pata chalega ki apki jibh kitna ladhkhadha
rahi hai he. To sharmana nahi bolte rahe aur darna to bilkul nahi he
ki log kya sochenge, ya mere friends kya sochenge.
Girlfriend banaye
Girls English mai jayada bolti hai,
jayda padhti hai. Girls apka majak kab banati hain aur apko jayda
protsahit karti hai. Agar apki girlfriend nahi hai toh banaye ya fir
kisi ladki ko English achchi ati ho aisi dost banaye. Uski help le. Use
English mai baatchit karne ki koshish kare. Girls dil se apki help
karengi aur apko sahi kaise bolte he wo bhi apko batayengi.
Jab aap inke sath rehte hain toh inse
baat karne ke liye aap jyada mehnat karte hain. English mai baatchit
karne par girls aap ko jayda pasand karti hai. Apko pata hai ki kis
level par mujhe jana hai aur main kitna piche hoon. English sikhne ke
kuchh bahut hi saral aur asan tariko ke bare main humne upar ke lekh
main bataya hain. Aap logo se humari bas itni si request hain ki aap log
iss lekh ko aur inn tricks ko follow kariye aur english sikh lijiye.
0 comments:
Post a Comment