Gmail Par Email Account Kaise Banaye
Hello friends,Mai Ashu DiwaL. hamara aaj ka topic he Gmail par Email Account Kaise Banaye. Aaj ki duniya mai har koi chahta hai ki uske pass ek email account ho. Sari duniya ab internet par aa gayi hai. Agar koi job ke liye apply karta hai to use email account lagta hai. Koi agar bank account banata hai to use bhi aaj kal email account lagata hai. Email account aaj kal ke jamane me ek important chij ban gayi hai. Abhi school aur colleges mai bhi padhane lage hai ki Email Id kaise banate hai.
Email Account ki jarurat
Aaj me aapko bade hi saral tarike se
bataunga ki Gmail par Email account kaise banate hai or saath hi apne
Email account ko safe kis tarah rakh sakte hai. Aaj kal hum jaha kahi
bhi jaate hai to hum dekhte hai ki lagbhag har jagah aap se Email id
maangi jaati hai, chahe wo online transaction ho, college, Banks,
Government offices, jobs, marketing etc. Yaha tak ki aap jo computer,
laptop, mobiles chala rahe hai unme bhi bahut saare software, Apps,
registration, online shopping etc ke liye bhi Email id ki jarurat padti
hai. Kul milakar ye kah sakte hai ki aaj ke yug me Email id hona bahut
jaruri hai. Email account dene wali Gmail seva ke bare me hum janenge.
Chalo to fir padhate he Gmail Kya hai, aur Gmail par Email Account Kaise
Banaye.
Google Gmail Kya Hai
Email account ek messenger hota hai
jisme aap apna Account banakar apni Email id or password create kar
sakte hai. Gmail ek Google ki hi service hai jiske dwara aap text,
images, document and other attachment kisi dusre person ko send or
receive kar sakte hai. Aapki Email id do part me hoti hai, pahli to aap
jo apni id name chunte hai or dusri Google ki virtual id jo change nahi
hoti hai. Ye virtual id aapki mail id ko @ se do part me baant ti hai.
Aap jo apni mail id ek baar bana lete hai to wo id pure world me sirf ek
hi banti hai fir koi or us naam ki same mail id nahi bana sakta, for
example abcd123@gmail.com.
Gmail par hi Email Account kyo banaye
Dosto Gmail Google ki hi ek service hai
jo aapko ek acchi facility or security provide karta hai. Aap chahe to
Yahoo mail, hot mail, Rediff mail par bhi apna Email account banakar
apni mail id bana sakte hai, lekin aap agar Gmail par hi apni Email id
banate hai to aap badi hi asaani se google ki other services ka bhi use
kar sakte hai. Saath hi aapko apne mobile phone me play store or other
apps par bhi account banane me asaani hoti hai. Aur aap apne Google
account ko mobile se connect karke Google ki bahut saari services,
products, Blog etc ko bhi asaani se use kar paate hai.
Gmail account banane ke procedure
Gmail ye Google ki ek free service he
jisse hum free mai hamara email account create kar sakate hai. Account
banana ke liye hame jana hoga gmail ki website par jo he www.gmail.com. Pehle aap apna web browser khole. Usme www.gmail.com type kare aur wo website open kare.
Agle screen mai aapko ye screen dikhayi degi.
Create Account button par click kare.
Is screen par Create Account button par click kare.
Email Account Ki Details Bhare
Yaha aapko aapki jankari bharni hai.
Apka naam, aapka gender, aapka phone number aur sabse important aapka gmail id. Jo id aapka Choose your username is box me likhana hai. Example : abcde.fghijk@gmail.com.
Saari jankari bharne ke bad aapko apna mobile number verify karna he. Filhal Next Step button par click kijiye.
Phone Number Verify Kare
Agle screen par aapko apna mobile number
verify karna he, Google ye pata lagata he ki jo account aap bana rahe
he wo sach me aapka account he ya nahi, isse fake accounts banana ki
bohot kam chances rehte he.Is process me aapko apna mobile number Phone Number box me dalna he.aur Continue button par click karna he. Aapko aise screen dikhegi.
Email Account Kaise Verify Kare
Continue button par
click karne ke bad aapke mobile par ek message aayega, us message me
Google ne ek code send kiya hoga wo code 5 digit code rehta he, wo code
bohot important hai, uske bager aap email account nahi bana sakte.
Phone Number Verify Kare
Wo code aapko is box me likhna he aur Continue button par click karna hai.
Email me login Kare
Uske bad aapka email account tayar ho
jayega. Aapke pas aapka khudka email account hoga, abhi aap firse
www.gmail.com par jaye. Waha apna email id aur password dale aur login
kare. Login karne ke bad aap kisiko bhi Email send kar skte ho, Bahar se
aaye hue emails padh sakte ho. Jab aapka kam ho jaye to log out karna
na bhule. Aur aapka Gmail ka password kisi ko na de. Nahi to aapka Gmail
account hack ho sakta he.
Mail kaise bheje
Apna Email account kholne ke baad aap Compose par click kare or isme aap-
To: me us person ka Email Address daale jise aap mail bhejna chahte hai.
Cc: me aap uska Email address daal sakte hai jisko es mail ki carbon copy matlab duplicate copy bhejna chahte hai.
Bcc: me aap us person ka Email address daal sakte hai jisko aap duplicate ki duplicate copy bhejna chahte hai.
Subject: me aap mail se juda huya topic daal sakte hai.
In sab ke baad aap mail type kar sakte
hai or attachment me choose file par click karke koi bhi file chun sakte
hai or akhir me send par click karde. Aapka mail send ho jayega.
Email account ko safe kaise kare
Email account ko safe rakhne ka sabse
accha tarika hai ki tarah tarah ki website se apne account me login na
kare gmail.com par hi login kare or akhir me log out karna na bhule.
Bahut saari website yesi hoti hai jo aapki mail id ko marketing or
product companies ko sale kar deti hai jisse aapka data bhi chori ho
sakta hai or faltu ke mails ki barish bhi ho sakti hai. Aur apna Email
address har kisi ko na de.
Short summary to create gmail account
Gmail par Email Account Kaise Banaye : Jaisa
ki maine pahle bataya hai ki Gmail aapko bahut hi acchi security
pradaan karta hai or isme Email id banate time two step verification
bahut hi accha hai jisse fake account banane ke bahut hi kam chances
hote hai.
Jaisa ki aap sab jaante hai ki www.gmail.com
par jakar or create account bar click karke jab aap apna Email account
banate hai to usme saari details bharne ke baad aap se verification ke
liye pucha jata hai, jisme sabse niche likha hota hai “prove you’re not a
Robot” or uske hi niche ek image me ek captcha code likha hota hai. Us
code ko aap type the text box me daal kar “I agree the google Terms of
service and privacy policy” par tick mark laga de or next step button
par click karde. Aur yadi aap es verification ko nahi karna chahta hai
ya isko karne me aapko problem ho rahi hai to aap “skip this
verification” par tick mark laga de tab aap se phone verification ka
puccha jayega, jo aapke liye bahut asaan hoga. Kabhi kabhi google ko
kuch sanka hone par aapse dono verification bhi puchh sakte hai tab
aapko dono verification complete karna hota hai.
Thanks For Reading My Blog.
Best Casinos & Gaming Services, Slots, Games, and More
ReplyDeleteThe casino has several hundred slots and 제천 출장마사지 hundreds of table games and includes 당진 출장안마 some 하남 출장안마 of the most popular table 밀양 출장안마 games, as well as 창원 출장안마 slots, table games,